Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

khwab mein Geet Gana

1. khwab main geet baatil kalam aur museebat par dalaalat karta hai agar khwab main geet ki aawaaz achhi ho toh ye nafaa mand tijarat ki alaamat hai aur agar aawaaz achhi nahin toh ye khasara wali tijarat ki taraf ishara hai aur gana gane wale ke hakeem ya aalim ya jaakir ya khateeb hone par bhi daal ho sakti hai.

2. khwab main kisi jagah main gana us jagah main jhoot bole jane ke saath hasid ke makar ki wajah se muhabbat karne walon main tafreeq hogi khwab main gana shar aur jhade par bhi dalaalat karta hai ye majkura taabeer raqs main harkat ki tabdeeli ke qabee se hai.

3. agar koi khwab main dekha ki woh achhi aur buland aawaaz ke saath qasaaid padh raha hai tohye gana gane walon ke liye achhi aawaazon ke liye aur mauseeqi walon ke liye apne saathiyon ke saath achhaai ki daleel hai.


4. agar koi apne aap ko khwab main fazul gane gate hue dekhe toh ye us ki kamzori faqeeri aur tamsakhar karne par dalaalat karta hai.

5. agar koi apne aap ko raaste main chalta hua gate dekhe toh ye us ke liye bhalai ki alaamat hai is liye ki raaste main gana gana khwab dekhne wale ki achhi zindagi aur us ke nafas ke khush hone par daleel hai.

6. agar koi khwab main khud ko hamaam main gata dekhe toh ye us ke kalam ke ghair waze hone par daleel hai.

7. agar koi khwab main apne aap ko bazaar ya khuli jagah main gata hua dekhe toh daleel hai ameer logon ki nazaron main us ka koi khaas muqaam nahin hai aur ye aib daar aur qabeeh amoor main padhne par bhi dalaalat karta hai jabki faqeeron ke liye un ke aqlon ke khatam hone par dalaalat karti hai baaz dafaa khwab main apne aap ko hamaam main gaata hua dekhna jhagda karne par bhi dalaalat karta hai is liye ki hamaam main gane ka matlab ghair waze hai.

8. agar koi mutaqqi shakhs khwab main apne aap ko bazaar main gata dekhe toh bazaar mai use fitna ka samna karna padega.

9. maashare main ghatiya muqaam rakhne wale ka khwab main bazaar main gana us ki aqal naqis hone ki taraf ishara hai.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!