Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

khawab me Hazrat ali radi allah taala anho dekhna

Ali Raziallhahu Anhu


aap radi allah taala tanho ko khwab main dekhna dushmanon ki daleel hai.

1. agar aap radi allah taala anhon ko kisi jagah logon ko sajda karte dekhe ya kandhon par uthata dekhe toh rafz ya aur kisi fitna par ijtima ki daleel hai.

2. agar aalim aap radi allah taala anhon ko dekhe toh ilm ke zariye munazreen par ghalba paane ki daleel hai. kabhi aap radi allah taala anhon ko dekhne wale ki qaid ya museebat ke sabab ek jagah se dusri jagah hijrat ka bhi khatra hota hai. aksar auqaat khufaa rashideen ki ziyarat karne wale ko jaame shahadat haasil hota hai. agar sahibe khwab badshah hai toh kisi qile ke fatah aur phir zikare jameel ki daleel hai. hazrat ali radi allah taala anhon ki ziyarat aulaad poton aur shareef nasal ki daleel bhi hoti hai. aap radi allah taala anhon ki ziyarat zimmeeyon khaas kar yahudiyon ko khatam karne, khilafat, amanat, karamton ka izhaar ki basharat hai jis shakhs ko aap radi allah taala anhon ko ki ziyarat naseeb hui use ilm, rizaq sakhawat, shujaat aur zahad ki daulat haasil hogi.


3. aap radi allah taala anhon ko zinda dekhna neki, hukumat, allah ke deen ko qaim karne, taqwa aur itbaa sunnat ki daleel hai. aap radi allah taala anhon ko hathiyar pahne dekhna badshah ke zariye rifaat o munafat paane ki daleel hai.

4. aap radi allah taala anhon ko budha dekhna badshahat ke amoor main qaumi hone ki daleel hai.

5. agar koi faqiya aap radi allah taala anhon ko safeed sar aur safeed dadhi wala dekhe toh daleel hai woh faqa main kamzor hai.

6. aap radi allah taala anhon ko musalmanon ke shahar main ladaai ki haalat main dekhna logon main talwar aur zabaan ke fitne ka ishara hai.

7. agar aap radi allah taala anhon ko kisi jagah dekhe jahan budhe rahte hon toh un tamaam ke halaak hone ka ishara hai.

8. jo shakhs aap radi allah taala anhon ke donon haathon ko khazaab se range hue dekhe toh us ki aulaad us ke muqaable main dusron ki madad karegi.

9. aap radi allah taala anhon ke jism main zakhm dekhna sahibe khwab par taan aur apni wilayat se nikalna hai.

10. agar dekhe aap radi allah taala anhon ne apne nayaam se talwar nikali hai toh sahibe khwab apni aulaad ko talab o wilayat ka hukum dega.

11. agar aap radi allah taala anhon ko ladhte hue dekhe toh sahibe khwab ki aulaad ki imdaad hogi. kabhi aap radi allah taala anhon ko kisi jagah dekhna us jagah fitna waqe hone ka ishara hai.

Related Articles

One Comment

Back to top button
error: Content is protected !!