islam
khwab mein garmi daany dekhna
Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main garmi daane maal aur aarzoo hai agar koi khwab main dekhe ki us ke jism par garmi daane zaahir hue hain aur thodi kharish ki hai aur un main peep hai daleel hai ki maal ko ranj aur sakhti se haasil karega.
hazrat jabir maghribi rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar dekhe ki garmi daane uske jism par the aur sab gir kar na maalum ho gaye hain daleel hai ki uska jama kiya hua maal zaaya hoga aur baaz ahale taabeer ne bayan kiya hai ki agar uska jism neela aur siyah hai toh maale haraam ke jama karne par daleel hai.