islam
khwab mein Kannah janvar dekhna
Ek jaanwar hai
kannah chchdi jesa ek jaanwar hai hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main kannah logon ka ayaal hai agar khwab main dekhe ki kannah us ke jism ko khata hai daleel hai ki usi qadar maal us ka ayaal khayega aur agar dekhe ki chaupaye par bahut sei kaha hai daleel hai ki log us ke chaupayon se faaida dekhenge.
hazrat jaabir maghribi rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar dekhe ki us ne kannah ka wajood apne se door daala hai daleel hai ki ayaal ko apne se door karega aur agar dekhe ki apne chaupaye se kannah ko pakad kar daal raha hai daleel hai ki kisi ko faaida na pahunchega.
hazrat jaafar saadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main kannah ka dekhna teen wajah par hai 1. ayaal 2. nokar chaakar 3. maal aur bahut se mutaalib aur agar dekhe ki kannah ko maara hai daleel hai ki gujishta bayaan kardah cheezon main nuqsaan uthayega.