islam
khwab mein Kawwa dekhna
Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main kawwa fasiq aur bad deen aur jhoota aadmi hai aur agar dekhe ki us ne kawwa pakda hai daleel hai ki kisi ayese aadmi se milega jis ki kawwe ki sifat hogi aur behuda kaam main mashghool hoga aur agar dekeh ki kawwe ko maara hai daleel hai ki us jagah kaafir fasaadi log aur chor jama honge aur agar dekhe ki kawwe ka shikaar kiya hai daleel hai ki kisi jagah se jhoot ke saath maal payega.
hazrat ibaraheem kirmani rahamtullah alayeh ne farmaya hai ki kawwe ko khwab main dekhne ki taaweel hindustaani kaneez hai aur khwab main bahut se kawwe dekhna lashkar hai aur agar dekhe ki kawwe ka chamda utara hai daleel hai ki musafir aurat se zina karega aur agar dekhe ki kawwe ko maara hai daleel hai ki us ke ahle bait ko nuqsaan pahunchayega aur agar dekhe ki bahut se kawwe hawa main aate hain aur guzarte hain daleel hai ki us mulk main un kawwon ke barabar lashkar aayega.
hazrat jaabir maghribi rahmatullah alayen ne farmaya hai agar dekhe ki kawwa aur chor daunon us ki shalwar main the daleel hai ki kaneez ke saath fasaad karega aur agar dekhe ki kawwe ke saath jamaa kiya hai daleel hai ki chor aadmi ko band karega.
1. kawwe ka khwab main nazar aana buland, mote aur barbaad aadmi par dalaalat karta hai.
kawwa pahadi jis ke baazuon lambe hote hain
ghadaaf ek chhota parinda hai jiska rang raakh ke rang ki tarah hai jiski chaunch aur paaon surkh rang ke hote hain aur uske khana uski hillat o hurmat main ulma ka ikhtilaf hai. khwab par parinda ladke ya ghulam par dalaalat karta hai.
1. agar koi khwab main dekhe ki us ko azaab par parinda mil gaya hai ya us ka mulk hua hai toh use wilayat aur badshahat, huqqaar hone ki bina par haasil hogi tahim agar woh uska ahal nahin ho jaayega.
2. agar khwab main kisi ne azaab parinde ko apne upar girta dekhe toh us main choron ke us se khauf khane ki taraf ishara hai.
kawwe ka bachcha
1. us ki ruiyyat faqar o faqaa aur ahal o ayaal aur rishtedaaron se doori ki alaamat hai.
2. faqar o faqa aur musafir shakhs ka khwab main use dekhna masaaib se khulasi paane ki alaamat aur apne ahal o ayaal ke saath ek jaa hone ki daleel hai.
3. is liye ki kawwa apne bachche ko andon se nikalte hi juda kar deta hai aur allah taala us ki ghiza ke liye makhkhi bhej deta hai aur ye rizaqus ke badan par baal upar nikalne tak milta rahta hai jab baal nikalte hain toh us ko phir apne saath mila leta hai yahn tak ki udhne ke qabil ho jaaye.
kawwe ki manind ek parinda
khwab main aqaq dekhne ki taabeer bewafa aur ghair amanatdaar aadmi hai jo kisi se muhabbat na rakhta ho zakheera andauj hua aur har waqt girani ki khwahish karta ho. kabhi us se muraad maaldaar bhi hota hai.
1. khwab main agar aqaq us se baat kare toh ghaibi kher ki daleel hai.
2. khwab main aqaq ka hasool dhoka baaz faasiq se milna hai.
3. aqaq ke peeche lagna kisi ayese kaam main mubtala hona jo kabhi mukammal na ho.