Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

khwab mein Khinzeer Suwar dekhna


1. khwab main us ki dalaalat ek maloon, sazishi, masaib ke waqt jaza wa faza karne wale aur apni baat ki khilaf warzi karne wale dushman par hoti hai.

2. khwab main khinzeer par sawar hona maal kaseer ke maalik hone ki alaamat hai.

3. khwab main khinzeer ka gosht khana jaanne ke bawajud haraam maal khane ki alamat hai.


4. soor ka paka gosht khana tijarat ke zariye haraam maal khane ki taraf ishaara hai.

5. yahi taabeer bhuna hua gosht khane ki hai.

6. khwab dekhna ki khinzeer ki tarah chal raha hai toh daleel hai jaldi uski aankhein thandi ho jayegi.

7. khushki main rahne wala khinzeer musaafir ke liye baraan aur sakht sardi ki alaamat hai.

8. agar sahibe khusumat ye khwab dekhe toh daleel hai us ka dushman qawi aur taaqatwar jaahil aur mareez hai toh shifayab hoga. agar shahar main taaun hai toh door ho jayega. agar qahat tha toh us ka khatma hoga. arzaani hogi, amoomi kashaais hogi. aur jis shakhs ne dusra soor suna toh khaneefa khabron ke wajood, raaz tasht azbaam hone, beemaron ki shifayabi ya qaidiyon ki rihai ya musaafiron ke ikhatta hone ki daleel hai.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!