Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

khwab mein Sar dekhna

Hazrat daaniyal alayeh salaam ne farmaya hai ki khwab main sar ka dekhna qaum ka sardar hai aur agar dekhe ki kata hua sar liya hai daleel hai ki kisi sardar ko dost rakhega aur us se khero munfaat paega aur agar ye dekhe ki bager zakham talwar ke us ka sar jism se juda kiya hai aur qirdar hai toh qarz se sarkhuj hoga aur gham se khushi paega aur agar ye khwab ghulam dekhe daleel hai ki aazad ho jaayega aur agar beemar dekhe toh shifaa paega aur agar sardar dekhe toh mulk paega aur agar aazad aur maldar yahi khwab dekhe toh aurat karega.

hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar koi bahut se kate hue sar dekhe daleel hai ki us jagah bahut se sardar log jamaa honge aur agar dekhe ki us saron se baal ya chamda ya bheja nikala hai daleel hai ki un sardaron se maal hasil karega.

aur agar dekhe ki saron ka chamda khaya hai daleel hai ki buzurgon aur sardaron se maal haasil karega aur agar dekhe ki logon ke saron ka chamda khata hai daleel hai ki koi raees us par aataab karega.

aur agar dekhe ki kisi maalum aadmi ka sar khaya hai daleel hai ki apna sarmaya khayega aur agar dekhe ki jangli chaupae ka sar khaya hai daleel hai ki maal paega aur agar dekhe ki kisi na maalum aadmi ka sarkhaya hai daleel hai ki woh kisi ka sarmya khayega.

aur agar dekhe ki murg ka sar khaya hai daleel hai ki usi qadar badshah ka maal khayega aur agar dekhe ki koi shakhs ek sar ya kai sar us ke paas laya hai daleel hai ki us giroh ka sardar hoga aur us se kher aur neki paega. aur agar khwab main kisi aurat ka sar dekhe daleel hai ki maaldar aurton se rahat paega aur agar dekhe ki bakri ki sar khaye hai daleel hai ki uski umardarji hogi aur maal halaal paega aur agar dekhe ki bail ka sar khaya hai daleel hai ki us saal main maal aur neamat paega.

hazrat ibraheem kirmani rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki agar khwab main apna sar badha dekhe daleel ha ki izzat aur martab paega aur agar dekhe ki us ke do sar hain daleel hai ki us ka kaam qaumi hoga aur agar apna sar tanga dekhe daleel hai ki apne kaam se girega aur ghamgeen hoga aur agar apne sar par zakhm dekhe ki us se khun bahta hai ki kisi se jhagda pade aur agar dekhe ki us ke sar se bheja nikala hai aur zameen main gira hai daleel hai ki us ke haath se sarmaya jaata rahega.


aur agar dekhe ki phir bheje ki us ke haath main kata hua hai daleel hai ki maal bahut paega.

aur agar dekhe ki us ka sar nek baat kahta hai daleel hai ki nekonkaar hoga aur kaamon main insaaf karega aur agar buri baat kahe toh us ki taawil awwal ke khilaaf hai aur agar apne sar ke do tukdhe dekhe us tarah ki aadha daayen haath main hai aur aadha baayen haath main toh daleel hai ki us ke maan baap marenge aur agar dekhe ki us ka sar us ke haath main hai toh daleel hai ki sardar se khero munaafat paega.

aur agar dekhe ki us ka sar oont ke sar jesa hai hogaya hai daleel hai ki fasaad aur haraam ki taraf maael hoga, aur agar dekhe ki us ka sar ghodhe ke sar jesa hogaya hai daleel hai ki badshah se maal paega aur agar dekhe ki kus ka sar ghadhe ke sar jesa hogaya hai daleel hai ki apne bakhat se naseeb paega aur agar dekhe ki us ka sar bail ke sar jesa ho gaya hai daleel hai ki khalqat ke nazdeek khwar hoga aur agar dekhe ki us ka sar bakri ke sar jesa hogaya hai daleel hai ki us par jahaalat ghalib aayega.

aur agar apna sar sher ke sar jesa dekhe toh daleel hai ki hukumat paega aur dushman ko maglub karega aur gar apna sar kutte ke sar jesa dekhe daleel hai ki jillat aur khwari paega aur agar dekhe ki us ka sar khinzeer ke sar jesa ho gaya hai khuda ki panah us ka meelan kufra ki taraf hoga.

aur agar dekhe ki us ka sar bulor ka ho gaya hai toh ye us ki halakat par daleel hai aur agar dekhe ki us ka sar sone ya chandi ka ho gaya hai daleel hai ki maal paega aur agar dekhe ki us ka sar lohe ya pathar ho gaya hai daleel hai ki kisi kameene sardar ki khidmat karega.

aur agar dekhe ki kus ka sar lakdi ka hai daleel hai ki us ki maut qareeb hai aur agar dekhe ki us ka sar thikri ka hai daleel hai ki kisi guppebaz aadmi ki khidmat karega aur agar dekhe ki kus ka sar murgon ke sar jesa ho gaya hai daleel hai ki safar ko jaega aur agar dekhe ki us ka sar kata hua hai daleel hai ki us ko phaasi par latkaenge.

aur agar aurat apna sar munda hua dekhe toh daleel hai ki us ka shohar marega aur agar dekhe ki bhuna hua ghosht sar ka khaya hai daleel hai ki maal paega aur agar dekhe ki bhuna hua sar kharida hai ya kisi ne us ko diya hai aur us ko khaya hai daleel hai kisi raees se faayeda uthayega.

hazrat jaafar saadiq rahmatullah alayeh ne farmaya ki bhuna hua sar taawil main raees ya sardar hai aur agar dekhe ki kachchi sari khaaye hai daleel hai ki kwoh kisi sardar ki gheebat karega. aur bhuni hui sari kachchi se khwab main dekhna behtar hai.

hazrat haafiz mautbar rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main aadmi ka sar baap hai ya sardar hai ya beta hai aur agar apne sar ko kata hua dekhe daleel hai ki maan aur baakp sse juda hoga aur agar apna sar apne haath main dekhe daleel hai ki un se milega aur agar apne sar ko phir gardan par lagaya hai daleel hai ki kisi se sarmaya lega ya qarz dega aur agar dekhe ki kate hue sar us ke paas hain aur qarz karte hain daleel hai ki us wilaayat ke sardaaron ko gham andwah pahunchega aur agar apne kandhe par badshah ka sar dekhe daleel hai dus hazaar dirahm paega.

hazrat jaafar saadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main aadmi ka sar dekhna barah wajah par hai.

1. raees

2. mahatar

3. baap

4. maan

5. imaam

6. mojzzan

7. aalim

8. dus hazaar dirahm pana

9. ladka

10. ghulam

11. aurat

12. maaldar shakhs]

aur agar khwab main dekhe ki us ka sar badha hai aur naye kapdhe pahne hue hai daleel hai ki us ki sardaron se suhabat hogi aur agar gande kapdhe pahne hue hai daleel hai ki kisi sardar se ghum wa andwah paega, aur agar dekhe ki us ne tanwar main sariya rakhi hai. daleel hai ki us ka sardaron ke nokron se kaam padehga.

Related Articles

Check Also
Close
Back to top button
error: Content is protected !!