Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

khwab mein Tabla dekhna

Tabal ka khwab main dekhna bura hai aur jhooti baat aur zaahir kaam aur roshan hai aur ye sab us ke bajane wale par daleel hai. hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki agar koi dekhe ki table ke saath nachata aur raqs karta hai toh gham o andwa aur museebat par daleel hai aur agar dekhe ki sirf bajata hai toh daleel hai ki kar baatil aur behuda baat kahega ki jis ke baas mashoor ho jayega, aur baaz ahal taabeer ne bayan kiya hai ki khwab main tabla achhi aawaaz aur behuda hai.


hazrat ibraheem kirmani rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki agar koi khwab main dekhe ki tabla bajata hai toh daleel hai ki behuda kaam karega ki jis ki kuch asal na hogi aur logon ke saath jhoota waada karega.

hazrat jaafar saadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main tabla bajana ayesa kaam hai ki jo naadani ke saath kiya jaata hai aur aakhir kar us ka zaahir ho jaata hai ki baatil hai aur khwab main tabla bajane wala sheereen aur aaraasta jhoot kahta hai aur baatil main gheebat karne wala buri kahne wala hai.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!