Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

khwab mein Kangan dekhna


Dast aur najan kade jo haathon main pahante hain hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main kade aurton ke liye shohar hain aur mardon ke liye gham wa andwa hai agar dekhe ki us ke paas chandi ka kada hai daleel hai ki us ka gham wa andwa kam hoga.

hazrat jaabir maghribi rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar khwab main dekhe ki us ke daunon haathon main kade hain toh daleel hai ki us ko maal aur nemat ranj se haasil honge.

hazrat jaafar saadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main kadon ka dekhna paanch wajah par hai 1. riyasat 2. hukumat 3. makar 4. gham 5. bar aur ya farzand.

1. jis aadmi ne dekha ki us ke haath main kangan hain toh us se muraad tangi hai.

2. agar woh kangan sone ya chandi ke ho toh kisi nek aadmi par dalaalat karte hain jo kheraat waghaira karne ki koshish karta hua aur agar us ke dushman hon toh allah taala us ki madad kareinge.

3. agar us ne dekha ki us ke haath main sone ka kangan hai toh us ke haath ruk jaayenge.

4. agar kisi badshah ne apni riaya ke haathon ke kanganon ko dekha toh woh un se narmi karega aur un se adal karega aur woh kaam aur maashiyat aur barkat payenge aur uski saltanat baaqi rahegi.


5. agar badshah ke haath main kangan pahnaye gai toh ye koi fatah hai jo badshah ke haath par hogi aur us ke saath us ko shohrat aur namoori haasil hogi aur kangan khadim par bhi dalaalat karta hai aur aurat ka kangan dekhna un nematon par dalaalat karta hai jo nemat aur khushi main se us ko haasil ho.

6. jis ne chandi ka kangan dekha toh us ka maal badhega aur murdon ke liye kangan pahnna gham ki alaamat hai aur aurton ke liye zeenat ki daleel hai is liye ke zewar mai se hai.

7. agar ye kangan murdon ke paas dekhe hon toh woh jannat main honge aur kaha gaya ki sone ka kangan pahnne wale ke liye meeras ki alaamat hai aur kunware ke liye shaadi ki basharat hai aur us ki taabeer ladke se bhi ki jaati hai aur kaha gaya ki chandi ke kangan khwab main pahnne wale ke liye deen aur taqwa par dalaalat daal hain is liye ye jannat ke zewarat main se hain aur kangan maazaz aur maaldaar aur khubsoorat logon ke liye izzat ki alaamat hai agar woh sone ya chandi ke hon.

8. agar woh khad ya haddi ya haathi daant ke hon toh baaz dafaa ya bandiyon aur zail qism ke aazaad logon par dalaalat karta hai aur baaz dafaa kangan pahanna aadmi ke liye badshahat milne ki daleel hai ya huq se gumrahi aur jhoot ki taraf nikalne par dalaalat karta hai aur baaz dafaa ye muhabbat par dalaalat karta hai aur baaz dafaa us par dalaalat karta hai jo shahar main waqe ho ya jo us main daakhil ho ya jo us main se nikle.

kada

arwah ki taabeer deen hai.

1. jis ne kade ko mazbooti ke saath pakda toh use deen ko mazbooti se thame rakha kyon ki baari taala ka farman hai aur jo shakhs imaan laya allah taala par tahqeeq usne ayese mazboot kade ko thaam liya jis ke liye tootna nahin hai.

2. jo shakhs apne haath kade main daakhil kiye hue kade ke saath latak gaya toh woh shakhs kafir hai toh musalman hoga aur deen ki rassi ko mazbooti se thaame rakhega aur us haal main agar baidaar hua ki us ke haath kade main hi the toh woh shakhs islaam par faut hoga.

3. kaaj aur batan aadmi ki beewi par daal hai jis shakhs ne dekha ki woh kaaj main batan laga raha hai agar kunwara hai toh shaadi karega ya bikhre hue amooron maamlat ko mujtama karega aur us ki tafseel zaa ki bahas main guzar chuki hai.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!