Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

Bahar-e-Zeest Nikah Ke Masail Wa Fazail

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.wafasoft.baharezist.shadi_Ki_pehli_raat_suhagraat

“ Tumhare Zubaan aur Rango ka Ikhtelaf bhi Allah ki Nishani hai ”

– (Surah Luqman 31:22)
*Tou beharhaal ye baat wajeh hai ke Insano ki Rangat me Variations ye Allah ki taraf se hai, Lihaja Rangat ke Aitbaar se koi kisi se Afzal aur Mafzul hahi hota ,.. Lekin Agar koi ye pasand kare ke uskey Nikah ke liye Khubsurat (Gori) Ladki miley tou isme koi harz nahi hai ,..
– Lekin Harz to tab hota hai jab Deendari aur Akhlaq wo tamam cheezo ko Chorrkar sirf Khubsurati aur Gorey Rang ko tarji di jati hai,.
– Aur Yaad Rahe! Jo Log Nikah ke Muamle me Deen ko tarji nahi detey unke hath fir kya lagta hai beharhaal bataney ki jarurat nahi hai Sab jante hai ,..
– Yahi hota hai Jo Deen ko tarji nahi detey aur duniya ke sab muamlo me ulztey hai ke, Ladki ka rang, Uske Khandan ka Rang, Uska Nanhiyaal aur Dadiyal, Falah aur Falah! Hazaar tehkik ki Jaati hai … Subhan’Allah!!
*Jabki Deendaari hi sabse Awwal hai ! Uske baad sabkuch mil jaye to, Alahmdulillah! Shariyat Gorey Rang aur Khubsurti ke Khilaf nahi hai , Lekin Deendari na ho aur baaki sab kuch ho,.. tou nahi chalega mere bhaiyo yaad rakhiye.
*Fir baadme pachtatey hai ke, Kash Deendar Ladki se Nikah karta tou meri farmabardari karti, meri izzat karti, mujhe logon me ruswa nahi karti , Apni Izzat-o-Aabru ki Hifazat Karti ,.. Meri Aulaad ki acchi tarbiyat Karti.

✦ Nikah ke liye Deendari ko tarji dijiye:

Tou beharhaal Nikaah ke liye Deendari ko tarji dijiye,  Deendar Ladki hogi tou Aulad Deendar hogi, Marne ke baad Sawabe-Jariya Banegi ,.. aur Deendar Aulad tou badi Aham Cheez hai,.. Jo Marne ke baad Humare liye Dua-e-Magfirat karengi.
Lihaja aesi Nek Aulad Agar hum Chahte hai tou Nek Ladki ka Intekhab kare, fir Rangat Unke Chahe Jaise bhi ho.
♥ Aur Isi Baat ko Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne Farmaya aur Kaha:

“ Aurat se 4 Cheezo ki Wajah se Nikah kiya Jata hai, 1.Uska Maal, 2.Husn Wa Jamal, 3.Uska Khandan, 4.Uski Deendari. Lekin Aye Musalmano! Tum Deendari ko Thaam Lo ”

– (Bukhari: Jild 3, Safa 59)
*Lihaja Nikah me Rangat ka Usool Choriye aur Deendari ko Lazim Banayiye Jo Duniya aur Aakhirat ki kamiyabi ka sabab baney.

Related Articles

Check Also
Close
Back to top button
error: Content is protected !!