Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

khawab me asdaha (bada saanp) dekhna

Asdaha (saanp)


hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki asdaha ka khwab main dekhna bade bhari dushman ka dekhna hai jo dushmani qawi rakhta hai agar dekhe ki woh asdaha rakhta hai toh daleel uski ye hai ki buzurgon se milega aur agar dekhe ki asdaha se jang kar ke us par ghalib aagaya hai toh daleel hai ki dushmanon se ladega aur aakhirkar dushman ko zer karega aur agar dekhe ki saanp ko mara aur uska goust khaya toh us se us amar ki daleel hai ki dushman par fatah pae aur us ka maal lega aur us maal ko apne ahalo ayaal ke waste khub kharch main laaway.


hazrat jaabir magribi rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki agar saanp ne us ko khaya toh daleel hai ki dushman se khouf hoga aur dushman usko halaak karega aur agar dekhe ki asdaha ki pusht par betha hai aur asdaha uske taabe farmaan hai toh us amar ki daleel hai ki bahut bada dushman us ka taabedar hoga aur us ke sab ka rubar intazaam se hogage.

saabaan (asdaha)

1. asdahawadi main rahne wale insaan par dalaalat karta hai.

2. kabhi khwab main asdaha dekhna ahalo ayaal ki taraf se adaawat ki alaamat hai.

3. kabhi uski taabeer zyada hasad karne wale shareer qism ke padosi se ki jaati hai.

4. dariyaei asdaha zaalim ke saath madadgar haakim aalaan par dalaalat karta hai.

5. khwab main asdaha dekhna azeem taaqat milne ki bhi daleel hai.

6. kisi ne dekhna ki asdaha uske aalah tanasul ko luqma bana raha hai aur nigal raha hai toh daleel hai ki uski beewee ne zina kiya hai.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!