Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

khwab mein Gadha Dekhna


Hazrat daniyal alayehi alsalam ne farmaya hai ki gadha khwab main naseeb aur buzurgi hai aur ghadhe ki neki aur badi sahibe khwab par ruju karti hia agar dekhe ki gadha us ki milk hua hai ya us ke qabze main aaya hai aur us ne gadhe ko pakad kar bandh liya hai toh daleel hai ki khair ka darwaza us par khulega aur gham se nijaat payega aur agar bahut se gadhe dekhe daleel hai ki us ki nemat aur maal zyada hoga aur behtareen gadhe ki khwab ki taabeer hai ki ye gadha is ka tabedaar ho.

hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki agar dekhe ki siyah gadhe par baitha hai toh daleel hai ki buzurgi aur sardaari payega aur izzat aur martabe ki daleel hai aur agar dekhe ki sabz gadhe par baitha hai toh daleel hai ki aabid aur zaahid hoga aur agar dekhe ki surkh gadhe par baitha hai toh daleel hai ki aish aur isharat karega aur agar dekhe ki zard gadhe par baitha hai daleel hai ki beemar hoga aur agar hamila gadhe apr baitha hai daleel hai ki khair aur khushi hogi aur agar dekhe ki gadhe ka gosht khaya hai toh daleel hai ki tijarat se maal haasil karega aur agar dekhe ki gadhe ko zibah kiya hai aur is ka gosht khaya hai toh daleel hai ki apna maal jama karega aur agar dekhe ki us ke baithne se gadha mar gaya hai toh daleel hai ki sahibe khwab jaldi marega aur agar dekhe ki apne gadhe se gira hai toh daleel hai ki darewesh aur tang aish hoga aur agar dekhe ki gadhe se jo is ki milk na gira hai daleel hai ki kisi se zarar aur nuqsaan payega aur agar dekhe ki woh gadhe se neeche utra hai aur dusra shakhs baitha hai daleel hai ki apna maal kharch karega aur agar dekhe ki kisi kaam ke liye gadhe se neeche utra hai toh daleel hai ki jis kaam aur haajat ka taalib hai woh jaldi puri ho jayegi.

hazrat ibraheem kirmani rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki agar dekhe ki gadhe ko shair khata hai toh daleel hai ki beemar hoga aur jaldi shifa payega aur agar dekhe ki gadha khareeda hai aur us ki qeemat nahin di hai toh daleel hai ki ek baat ke baas jo kisi buzurg ko kahi hogi raahat payega aur agar dekhe ki gadhe ki ek aankh hai ya ek aankh kamzor hai toh daleel hai ki mushkil se maashiyat talab karega aur agar dekhe ki uske paas gadha hai aur is ki daunon aankhein nahin hain daleel hai ki jo maal us ke paas hai zaaya hoga aur agar dekhe ki gadhe ke das wa paa bahut hain aur gadha daraz ho gaya hai toh daleel hai ki us ke bahut log tabedaar honge aur agar dekhe ki gadha mar gaya hai aur woh dusre gadhe apr baith gaya hai ya paas ka gadha baicha hai aur dusra khareeda hai toh daleel hai ki is ki maashiyat ek haal se dusre haal ki taraf phiregi aur agar dehke ki us ka gadha asar ho gaya hai toh daleel hai ki is ki mashiyat badshah se hogi lekin zulm se hogi aur agar dekhe ki gadha bakri ho gaya hai daleel hai ki maale halaal payega aur agar dekhe ki is ka gadha parinda ho gaya hai toh daleel hai ki iska rozgar ayese kaam se hoga jo is parinde ki taraf mansoob hoga aur agar dekhe ki us ka gadha chor le gaya hai toh daleel hai ki us ki aurat fasaad ki shohrat payegi aur us ka natija is se judai hoga aur agar dekhe ki us ka gadha qawi aur zor wala hai toh daleel hai ki duniya ki kaar aur kamai us par aasaan hogi aur agar us ke khilaf dekhe daleel hai ki duniya ka karobar us par tang hoga aur takleef se hoga aur agar dekhe ki gadhe par bojh laada hua hai aur woh us ke upar baitha hai toh daleel hai ki tawangar hoga aur agar dekhe ki gadhe se jama kiya hai toh daleel hai ki apni muraadein payega aur agar dekhe ki gadhe ko pusht par liya hai aur paani main se nikala hai toh ye quwat haal aur buzurgi aur iqbaal ki daleel hai aur agar dekhe ki gadha heenga hia toh daleel hai ki ye nek nahin hai farmane huq taala hai tamaam aawazon se karkhat aazaad gadhe ki hai.

hazrat jabir maghribi rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki agar dekhe ki gadhe par baitha hai aur us gadhe ne us ke neeche se aawaaz ki hai toh daleel hai ki us ka ayaal bad khu hoga aur agar dekhe ki apna gadha dusre gadhe se badla hai aur us se bura hai daleel hai ki us ka haal bur ho jayega aur agar pahle gadhe se behtar hai daleel hai ki us ka haal nek hoga aur maal badhega aur agar dekhe ki apna gadha ghodhe ya astar se badla hai daleel hai ki badshah se maal aur munafaat payega aur agar dekhe ki darinde ke saath badla hai daleel hai ki zaalim badshah se us ko kuch milega aur agar dekhe ki apna gadha parinde se badal kiya hai daleel hai ki parinde ki qadar o qeemat ke mutabiq us ko kuch milega.


hazrat jaafar saadiq rahmatullah alayeh ne famraya hai ki khwab main gadhe ko dekhna dus wajah par ia naseeb daulat hukumat riyasat maal aurat ya kaneez shaadi iqbaal sardari martaba aur khwab main gadhe ke rakhwale ko dekhna sahibe wilayat o tadbeer hai aur kaamon ko sunwane wala aur maashiyat ko tayyar rakhne wala hai.

gadha farosh

khwab main kharkar dekhna baa ikhtiyar aadmi dekhna hai neez sawari aur safar ke zariye hasoole mashiyat ka ishara hai kabhi use dekhne se mashiyat ki aasaani bhi muraad hoti hai.

1. khwab main gadha dekhna ghulam ladka ya beewi dekhna hai kabhi us se muraad safar aur ilm bhi hota hai.

2. jis aadmi se gadhe ne woh salook kiya jinki baidaari main tawaqa nahin aur khwab dekhne wale ke dil main khashiyat e ilahi bhi hai toh us ki ibadaat main susti ka ishara hai hazrat jul noon misri rahmatullah alayeh farmate hain ki main allah taala ki jo na farmani karta hai toh us ka asar apne gadhe aur khadimon main bhi nazar aata hai.

3. agar kisi ayesi sawari par sawari ki jo us ke shayan shaan nahin toh khud ko ya dusre ko ayese kaam main lagayega jo us ke munasib haal nahin hoga gaahe gadhe se muraad mashiyat aur kabhi gadhe se muraad aalim be amal ya yahudi bhi hota hai gadhe se muraad cheez bhi ho sakti hai jis par insaan chalta ho jaise farsh aur juta waghaira khwab main gadha aur khachchar maal hain un ki sawari maal wa aulaad se zeenat ka hasool hai kabhi gadhe se muraad ayesi beewi bhi hoti hai jo bahut zyada maal wa nasal wali aur faaida mand ho.

4. gadhe aur khachchar ki aawaaz shar aur sakhti ki daleel hai kabhi walad al zina aur janabat ki taraf se laa huq hone wali museebat par bhi dalaalat karti hai kyon ki woh shaiyaan ko dekh kar aawaaz nikalta hai baaz hazraat kahte hain ki us ki aawaaz taareekiyon ki dua hai khwab main gadha insaani kawash ki alaamat hai.

5. chunancha agar gadha mota ho toh kawish saheeh hogi aur agar gadha kamzor ho toh kawish bhi kamzor hogi.

6. khwab main bada gadha dekhna bulandi ki.

7. achha chalne wala duniyawi fawaid ki bhi daleel hai.

8. khwab main agar gadha khub soorat ho toh sahibe khwab ke jamal ki taraf ishara hai.

9. agar safed ho toh sahibe khwab ki zeenat ki alaamat hai.

10. agar kamzor ho toh us ke saroor wa sardari mumlikat sharafat aur hebat ki alaamat hai.

11. agar sabz ho toh deeni taqwa ki daleel hai allama ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya tamaam sawariyon par gadhe ko taabeer ke aatbaar se fazeelat dete the aur siyah gadhe ko zyada pasand farmate the.

12. zeen wala gadha baite ki izzat hai.

13. lambi dum wala sahibe khwab ki maut ke baad us ki daulat ka baqa hai.

14. gadhe ki khur us ki asal punji ki daleel hai.

15. gadhe ka marna maal aur bahaduri ke khatme aur makan ke girne ghulam baap dada ya sardar ke marne ki taraf ishara hai.

16. agar khwab dekhne wali aurat ho toh us ka khawind ya use talaaq dega ya faut ho jayega ya us jagah se hujjat kar ke kahin door jayega.

17. ghair maaruf gadha jhagdalu aur jaahil ya kaafir ki daleel hai gadhe ka jama masjid main hinhinana ya azaan dene ki jagah hinhinana kaafir ke kufar ki ya bidaati ke bidaat ki taraf daawat dene ki alaamat hai.

18. agar gadhe ne islaam wali azaan di toh daleel hai kaafir ka musalman bankar huq ki daawat dega lekin us main allah taala ki taraf se khaas ibrat aur nishani hogi.

19. agar koi shakhs apne milk main gadhe dekhe toh us ka wasta jaahil qaum se padhega.

20. agar koi shakhs khwab main gadhe par sawar hua aur gadha munasib chaal se chalaya achhe andaaz se chalaya toh us ki koshish kamiyab hogi.

21. agar dekhe ki khwab main gadhe ka gosht khata hai toh hasoole maal ka ishara hai.

22. agar dekhe ki gadha maal ke baghair nahin chalta toh use dua ke zariye rizaq haasil hoga.

23. agar gadha kisi daulat mand ke ghar daakhil hua use apni kisi khubi ki bina par maal haasil hoga.

24. agar dekhe ki gadha khachchar ban gaya hai toh us ki mashiyat sarar se haasil hogi.

25. aur agar gadha ghoda ban gaya toh use uski mashiyat badshah ke zariye milegi.

26. aur agar dekhe ki gadha darinda ban gaya hai toh us ki mashiyat zaalim badshah se mutaliq hai.

27. agar dekha ki us ka gadha mainda ban gaya hai toh use sharafat ke saath mashiyat haasil hogi.

28. agar koi shakhs khwab main gadhe par wajaz laade toh allah taala use itni quwat ataa farmayege ki woh khud heraan rah jayega.

29. agar koi khwab main gadhe ki leed jama kare toh zyadati maal ki daleel hai.

30. gadhe par hamla karna na rishtedaron se bughz rakhna hai.

31. musafir gadhe ko dekhna aahista aahista maal milna hai aur gadhe ki haalat ke mutabiq use safar main haalaat paish aayege.

32. khwab main gadhe se shaadi karna koshish main baar aawri ki daleel hai.

33. agar kisi shakhs se gadha nikah kare toh use maal wa jamal haasil hoga.

34. mateea gadha maal wa daulat ki koshish main kamiyabi hai.

35. jo aadmi gadhe ka maalik huaya use apne ghar main le gaya toh allah taala use har qism ki bhalai aur har qism ke gham se nijaat ataa farmayenge.

36. agar khwab dekhne wala maal daar hai toh use fazeelat haasil hogi.

37. khwab main gadhe se girna faqar hai.

38. agar gadha kisi dusre shakhs ka ho toh mazkura khwab us se qata taaluq ka ishara hai.

39. agar khwab main andha gadha khareeda toh use ayesi jagah se maal milega jis jagah ka use ilm nahin.

40. khwab main sirf gadhe ki aawaaz sunna bura hai khwab main gadha darasal insaani kad wa kawish hai.

41. khwab main gadhe dekhna khadim dekhne ki alaamat hai ya aurton ki tijarat nafa ya beewi ki taraf ishara hai.

42. agar dekhe ki gadhi haamila hui toh daleel hai us ki beewi ya londi ya khadima haamila hogi.

43. agar khwab main gadhi ne apni jins ke alawa kisi dusri jins ka bachcha jana toh ishara hai us ke ghar zina se baita paida hoga illa ya ki use bachcha ke apne hi se paida hone ka qawi yaqeen ho.

44. khwab main gadhi ka doodh peena halke marz ke baad shifa yaab hone ki daleel hai.

45. khwab main gadhi ka bachcha ka janna maash ke darwaze khulne ki daleel hai.

46. agar bachcha muzakkar jana toh us ke haan muzakkar aulaad hogi.

47. agar bachchi moanish jani allah taala use burd baari ataa farmayenge.

48. jo be aulaad gadhi par sawar hua be aulaad daawat se shaadi karega.

49. agar aulaad aulaad daar gadhi par sawar hua toh aulaad daar aurat se shaadi karega.

50. agar khood ko sarkash gadha pakadte dekha toh baite ki taraf se takleef pahunchne ki daleel hai.

51. agar gadha sarkash na ho toh use sust raftaari se maal haasil hoga baaz hazraat kahte hain ki khwab main gadha dekhna zyadati maal aur nuqsaan jaah ki daleel hai.

52. gadhe par sawari karna ya sawari se darna ayesi cheez ka hasool hai jo abhi tak use haasil nahin hui.

53. agar faqiya khud ko gadhe par sawar dekhe ya khud par sabz rang ki mashaikh wali chaadar dekhe toh use badai haasil hogi lekin dars main susti ki daleel hai.

54. kamzor gadha ayesa maal hai jo badh jayega.

55. mota gadha ayesa maal hai jo khatam ho jayega.

56. gadhi woh maal hai jo khaiti se haasil ho gadhi dekhan ayesi aurat se shaadi karna hai jis ki aulaad na ho agar koi khud ko gadhe ke bachcha par sawar dekhe toh use beewi ya baite ki taraf se gham haasil hoga.

57. kabhi gadhe ki maut ya us ka kamzor hona ya gadhe se utarna ya use baichna faqar ki daleel hai.

58. jo apne gadhe ko gosht khane ke liye zibah kare toh use tangi ke baad rizaq haasil hoga.

59. agar aur maqsad ke liye zibah kare toh fasaad maash ki daleel hai.

60. gadhe ki bahut zyada dumain dekha wasat maali ki daleel hai.

61. gadhe ka maalik banna kasrate maal wa saadat ki daleel hai.

62. jungli gadha masiyat wa nafarmani ki daleel hai.

63. jo jungli gadhe par sawar hua ya us ki peeth se gir pada toh use masiyat se darna chahiye ki kahin pakad na ho jaye.

64. jungli gadhe ka manus hona khairiyat ki alaamat hai.

65. agar gadhe ko kaana ya kamzor binaai wala dekha toh mashiyat main naqs ki daleel hai.

66. agar khud dekhe ki gadha ban gaya hai toh ayesi museebat pahunchne ka ishara hai jis se aqal faasid hogi aur achhe kaamon main kami waqe hogi.

67. agar dekhe ki gadha aasmaan se utra hai toh use itna maal haasil hoga ki woh har ek se be parwa ho jayega bil khushus agar ye khwab badshah dekhe.

68. jungli gadha zaalim aur sakht dil beewi aur baite ki alaamat hai ya phir jungli logon ki taraf ishara hai.

69. usi tarah jungli gaye aulaad par zyada shafaqat ki alaamat hoti hai.

70. agar dekhe ki jungli gadha mateea nahin balki sar kashti kar raha hai toh bahut zyada na farmani aur khauf wa gham ka ishara hai.

71. agar jungli gadha ghar main daakhil hua toh us ke paas ayesa aadmi ayega jis ka deen durust na hoga.

72. agar jungli gadhe ko apne ghar main daakhil kiya aur dil main use shikaar kar ke khane ka irada ho toh us ke ghar main ghaneemat daakhil hoga.

73. jungli gadhe par sawar hona naa huq se aaraaz kar ke baatil ki taraf lagna aur jamaat al muslimeen se alhayedagi ki daleel hai.

74. agar door se jungli gadha dekhe toh use khatam hone wala maal haasil hoga.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!