Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

khwab mein Joron Ka Dard dekhna


Hazarat ibne seerin rehmatullah aleh ne farmaya hai ke agar khwab me dekhe ke us ke jor dard karte hai – daleel hai ke us ke qabaze se maal jaaye hoga’ aur agar dekhe ke us ka sar dard karta hai – daleel hai ke bahut gunaah kare hai – tauba kare aur sadaka de – farmane haq ta-ala hai (jo shakhas tum me se bimar hai ya us ke sar me takleef hai to rozo ka fadiyah ya sadaka ya qurabani ada kare).

Aur agar dekhe ke us ki peshani dard karti hai to fasad-e-deen aur gam ki daleel hai aur agar dekhe ke us ki aankh dard karti hai daleel hai ke koi usko haq ka rasta dikhayega.


Aur apni jabaan kati huyi dekhi to salaah aur paarsaayi ki daleel hai’ aur agar dekhe ke us ka taalu dard karta hai aur suja huwa hai daleel hai ke kisi ke haq se munkeer hoga’ aur agar dekhe ke us ka muuh dard karta hai – daleel hai ke apne se andawah payega’ aur agar dekhe ke us ki gardan dard karti hai – daleel hai ke us ke zai amanat hai aur wah ada nhi karta hai.

Aur agar dekhe ke us ka pet dard karta hai – daleel hai ke us ne maal-e-haraam khaya hai aur agar dekhe ke us ki kamar dard karti hai daleel hai ke apne sardaar se aazardah hoga’ aur agar dekhe ke us ka pahlu dard karta hai – daleel hai ke khawisho ke ba-as dard dekhega aur bimar hoga.

Aur agar dekhe ke us ka jigar dard karta hai – daleel hai ke apne farzand par meharban hoga’ aur agar hath me dard dekhe – daleel hai ke hamsaa ye ke bhai par julm karega’ aur agar dekhe ke ungali me dard hai to daleel hai ke kinawar hoga.

Aur agar dekhe ke naaf me dard hai – daleel hai ke apne ayaal ko satayega aur agar dekhe ke us ke ajutana sil me dard hai daleel hai ke fasaad karega’ aur agar dekeh ke us ke paakhane ki jagah dard me dard hai – daleel hai ke fasaad aur haraam karega.

Aur agar dekhe ke us ke saren me dard hai – daleel hai ke apno aur dusro par julm karega’ aur agar dekhe ke us ka paao dard karta hai – daleel hai ke aajizo par maharbani karega’ aur agar dekhe ke us ke jism par daag kiya hai – daleel hai ke maal paayega.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!