Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

khwab mein kutta dekhna


1. kutta gunahon par be baak shakhs ki daleel hai.

2. khwab main kutta bhonka buri khaslat wala kameena aadmi hai.

3. agar kisi ko khwab main kutte ne kaata ya us ko kharash lagi toh us ke dushman ki taraf se baqadar dard nuqsaan pahunchega kabhi ye marz par bhi dalaalat karta hai aur kutta ki dalaalat ayesi kameeni aurat par hoti hai jo buri dushmani rakhne wali qaum se hogi.

4. kutte ka bachcha dekhna maqtu zikar bete ki alaamat hai agar woh kutta safed hai toh woh momin hai agar kala hai toh woh apne ghar walon ki qayamat karega aur baaz ne kaha hai ki kutte ki dalaalat raaste se uthaye hue ayese bachce par hoti hai jis ki tarbiyat koi kam aqal aadmi karta ho.

5. charwahe ka kutta badshah ki taraf se koi faaida milne par dalaalat karta hai aur paltu kutta zaalim dushaman ki nishani hai.

6. saljuqi kutta dekhna ghair muslim ajmi qaum ke saath akhtalat ki daleel hai.

7. agar kisi ne khwab main kutta pakda toh khidmat gaaron main se ayese aadmi ka masahib banega jo us ke saath intihaai muhabbat karega.

8. agar kisi ko kutte ne kaata us ko dost ya khadim ki taraf se museebat aur sakht takleef pahunchegi.

9. agar kisi ne dekha ki woh kutton ke saath shikaar kar raha hai toh daleel hai ki us ki aarzu aur us ki khwahish puri hongi.

10. agar kisi ne khwab dekha ki woh kutton ko maar raha hai toh daleel hai ki woh apne dushman par fatah paayega.


11. agar kisi ne dekha ki shikaari kutte shikaar ke liye nikal chuke hain toh tamaam insaanon ke liye kher hai aur nuqsaan ke faal par bhi dalaalat karta hai.

12. agar us ko shikaar se wapis aate hue dekhe toh ye ghabrahat door hone aur bahaduri par dalaalat karta hai.

13. agar un ko shohar main daakhil hote dekhe toh ye bahadoori par dalaalat karta hai.

14. woh kahte jo gharon ki hifaazat par mamoor hain un ko khwab main dekhna beewi aur us ke saaman ki hifaazat par dalaalat karta hai.

15. un ko beemar dekhna marz aur nuqsaan par dalaalat karta hai aur baaz ne kaha ki saaman ke khatam hone par dalaalat karta hai khwab main kutta bhonte dekhe toh ye takleef aur bure logon aur dhoka par dalaalat karta hai aur kutta bukhar par bhi dalaalat karta hai kutte ke har jins khasees zaleel qaum par dalaalat karti hai.

16. khel aur muqabla wala aish o ishrat aur lazzat par dalaalat karta hai aur us kutte ko koi aarza laahuq ho jaaye toh ye khushi ke khatam hone aur gham laahuq hone par dalaalat karta hai.

17. agar kisi ne khwab dekha ki woh kutte ka gosht khaa raha hai toh daleel hai ki apne dushman par fatah paayega aur us ka maal us ko milega.

18. kisi ne dekha ki woh kutta ban gaya hai toh taabeer hai ki allah taala us ko kisi ilm azeem se nawaza aur us par utarne ke padaash main us ilm ko us se salab kar liya kutte ki taabeer police ke bachche bhi hote hain aur kutaa kamzor dushman ki bhi alaamat hai aur bakhil par bhi dalaalat karta hai.

19. khwab main kutte ko bhonkna kameene insaan se napsandeeda kalaam sunne ki daleel hai aur kutta chokeedar par bhi dalaalat karta hai aur bidadi par bhi dalaalat karta hai khwab main kutta ka doodh peena khauf hai.

20. agar kisi ne khwab main kutte par sahara lagaya toh kutta us ka dost hai woh us ki madad karega aur kutta ghulam ya darban hai aur kabhi kutte ki dalaalat kameengi zillate nafs hoti hai aur kabhi us ki dalaalat maal jamaa kiye baghair duniya ke harees hone par bhi hoti hai aur kutton ki dalaalat ahale duniya par bhi hoti hai.

21. shikaari kutta izzat hai aur faat hai bhedh bakriyon ki hifaazat par maamoor kutta nek aur ghairat wale padoshi par dalaalat karta hai.

22. kabhi khwab main kutte ko pakadna ya us se dosti karna kajrawi aur maqrooz hone aur amal ke baatil hone par dalaalat karta hai kutte ki sohbat akhtiyar karna chhup jaane par dalaalat karta hia ashabe al kahaf ke qisse ki tarah hai khwab main kutiya ki dalaalat ayesi aurat par hoti jo apne khawind ki izzat o hifaazat karne wali aur ziyada bachche janne wali ho kabhi khwab main kutta dekhna kufar aur allah ki rahmat se na ummeedi par aur jhoot bolne par bhi dalaalat karta hai.

23. khwab main ashaabe kahaf ke kutte kutte ko dekhna khauf aur qaid khana aur bhagne par dalaalat karta hai us kutte ko shohar main dekhna tajdeed o wilayat ki alaamat hai.

Related Articles

One Comment

  1. Really a great addition. I have read this marvelous post. Thanks for sharing information about khawab ki tabeer.
    I really like that. Thanks so lot for your convene.

Back to top button
error: Content is protected !!