Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

khwab mein Lab (hont) dekhna


Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main labon ka dekhna muraad ke pure hone par daleel hai aur neeche ka lab oopar ke lab se behtar hai aur baaz ahale taabeer bayan kiya hai ki lab khwab main khaweesh aur qareebi hain agar dekhe ki oopar ka lab apni jagah se zaail hua hai daleel hai ki us ka maal zawaal main hoga aur neeche ke lab ki bhi yahi taaweel hai aur agar dekhe ki kisi ne uska neeche ka lab kaata hai daleel hai ki aurat ko talaaq dega ya aurat us ko halaak karegi aur agar daunon lab karegi aur agar daunon lab gire hue dekhe daleel hai ki us ke maan baap ki taraf se museebat pahunchegi aur ye bhi kahte hain ki woh chughal khor hoga aur agar apne labon ko dard madn dekhe daleel hai ki ghamgeen hoga aurn agar dekhe ki us ke lab aapas main chaspeeda hain us tarah ki khul nahin saktein hain daleel hai ki us ka kaam rukega aur agar aurat apne lab par siyah kaal yaani tal dekhe toh daleel hai ki us ki izzat zyada hogi.


hazrat jabir maghribi rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar dekhe ki apna lab daanton main pakad kar zakhmi kiya hai daleel hai ki us ka jhagda hoga jis se halakat ka khauf hoga aur agar dekhe ki us ke lab sukhe hue hain daleel hai ki us ka maal zyada hoga aur agar dekhe ki us ke lab surkh ho gai hain daleel hai ki haakim banega aur agar dekhe ki us ke lab sabz ya safed hain daleel hia ki doston ki wajah se gham khayega aur agar dekhe ki us ke lab kamzor aur zaeef hain daleel hai ki us ka haal bad hoga.

hazrat jafar sadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main oopar ladkon aur neeche ka lab ladiyon par daleel hai.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!