Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

khwab mein Fauj ka dekhna

1. jand ki taaweel malaika rahmat hai aur nichle tabqa fauj ki taabeer malaika azaab hai.

2. kisi ne khwab dekha ki woh fauji hai aur badshah ke deewan se kha raha hai daleel hai ki woh bila mahnat kisi shahar ka waali ban jayega.

3. kisi ne dekha ki us ka naam fauj ke deewan main likha gaya hai toh taabeer hai ki woh kher paega jis ke pura hone ki ummeed thi ya apni tamanna puri hoti hui dekhega.

4. mareez ka khwab main apne ko fauji bante hue dekhna uske marne ki alaamat hai aur ghair mareez ke liye gham aur taawaan main padhne ki nishani hai.

5. khwab main fauji hona beemariyon ki liye maut ki alaamat hai aur kabhi uski dalaalat gham aur nakami aur kabhi safar par bhi hoti hai.


6. aur ghulamon ka ye khwab dekhna aazaadi mile baghair mauzaja hone ki alaamat hai.

7. kabhi uski taabeer aazaadi bhi hoti hai.

8. khwab main faujiyon ka yakja majtuma dekhna mubtaleen ki halaakat aur huq paraston ki nusrat ki alaamat hai.

9. fauj ka kam hona kamiyabi ki alaamat hai aur kisi fauji ko haath hain chabuk liye hue dekhna husne maash ki taraf ishara hai.

10. khwab main shaam ya iraq ya yaman ki taraf se faujiyon ko apni taraf aate dekhna, baaton main mazmoone kalam ya huq main ikhtilaf waqe hone ki daleel hai.

11. baaz dafa faujiyon ko dekhna khauf par bhi dalaalat karta hai.

12. kuffar ke faujiyon ka musalmanon ki fauj se zyada hone ki taabeer ahale islam ke ghalba ki daleel hai 1020 afraad par mushtamil fauj daleele basharat hai.

13. ek hajaar teen sau aur ek sau ki taadaad aur paanch hajaar mujahideen dushmanon par ghalba ki basharat hai.

14. admaat har sua saal ke ikhtitam par allah taala ki taraf se naye amoor pesh hone ki alaamat samjha jata hai.

15. kabhi ek hajaar fauj dekhna sahibekhwab ke liye lelatul qadra milne ki daleel hai.

16. khwab main askar ke saath nabhi badshah ya aalim ki maujudgi mohdeen ke liye daleele nusrat hai.

17. kisi shahar ya gali ki taraf fauj ki aamad baraan rahmat ki daleel hai.

18. baaz ulmaa taabeer kahte hain ki jaood ki dalaalat musalmanon ke liye nusrat ki basharat aur zalimon ke liye intaqaam ki alaamat hai.

Related Articles

Check Also
Close
Back to top button
error: Content is protected !!