Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

khwab mein Lohar dekhna

1. khwab main lohaar ko dekhna hebat wale azeem aur qawi badshah ko dekhna hai jo apne kaam bareek banee se anjaam deta ho.

2. kabhi lohaar se muraad malakul maut aur lohe se muraad ki quwat hoti hai allah taala farmate hain aur hum ne lohaa utartaus main sakht quwat aur logon ke liye nafaa hai us aayat main nafaa se muraad bartan aur woh cheezein hain jo insaan lohe se banata hai jese kulhada talwar aur chhuri waghaira.


3. agar lohaar khud ko apni marzi ki cheezein banate hue dekhe toh us ki mulaqaat azeem badshah se hogi.

4. agar koi shakhs khud ko khwab main dekhe ki woh lohaar hai aur lohe ko naram kar ke us se aalaat bana raha hai agar woh shakhs badshah ke khandaan se hai ya us ke aaba wa ajdaad main koi badshah guzaara hai toh use badshahat milegi us ke zaaf par nazar na daali jaye balki us ke ajdaad ki wajah se us ke khwab ki yahi taabeer hogi.

5. agar khwab main na maalum lohaar dekhe toh us ki lohe par qudrat ke baqadar azmat wale badshah ko dekhega lohe ko dekhna shuroor tangi aur kaam na kar sakne par dalaalat karta hai aur kabhi us ka dekhna mushkil kaam ki aasaani par bhi daleel hota hai kabhi us se muraad jahannmiyon jese bure amal kar ne wala shaksh bhi hota hai.

6. agar khwab main kaha jaye ki falaan ka kaam lohaar ki taraf le jaya gaya hai toh daleel hai woh kisi museebat main giraftaar hoga aur badshah ya uske hawadariyon ki panah haasil karega warna se kisi ayese aadmi ki sohbat haasil hogi jis se us ko kuch nafaa haasil na hoga bil khusus agar dhuwan ya chingariyan us ki aankh kapdon ya chadar tak pahunchi hon.

7. agar koi shakhs khwab main lohaar ke paas jaata hai toh us ke munasib haal use kuch haasil hoga.

8. khwab main lohaar se muraad har woh aadmi ho sakta hai jis ki zindagi aag ke kaamon main guzarati ho jese bawarchi naan bai aur taanbe ka kaam karne wala.

9. koi shakhs khwab main lohaar ke qareeb jaa kar baitha agar beemar ya murda hai toh aag main daakhil hoga khususan jabki us ka chahra ya kapde kaale ho gaye hon warna qaid main daakhil hoga kyon ki arab daar waghaa jail ko bhi hadaad lohaar kahte hain.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!