Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

khawab me Aurat Dekhna


1. khwab main khubsoorat aurat kher o raahat ke saath aane wala saal ki alaamat hai, aurat sandook, khazana ya qaidkhana aur sharakat daar par bhi dalaalat karti hai, is liye ki ye cheezein maal o lazzat main insaan ke shareek hain, aurat ki taabeer phaldaar darakht aur us ki sawari aur baqabaze ki jagah se bhi ki jaati hai.

2. khwab main khubsoorat aurat ko ghar main daakhil hote dekhna sarwar aur khushi naseeb hone par dalaalat karta hai.

3. aur khubsoorat ki taabeer aarzi maal daulat hai.


4. khwab main namaalum arbi nojawan aur mazeen aurat ki taabeer o safe kher ki kaseer se ki jaati hai.

5. moti aurat saal ki khushaali aur laaghor aurat khushk saali hai.

6. arbi aur namaalum aurtein taabeer ke lihaaz se afzal hain.

7. agar aurat khwab main jawan aurat dekhe toh woh us ki dushman hai.

8. aur budhi aurat ki taabeer duniya hai.

9. jo aurat ko dekhe ki woh logon ko allah ke liye hukum deti hai aur mana karti hai. toh woh deen ka achha hukum hai.

10. jo shakhs khwab main aazaad siya faam aurat dekhe toh us main koi kher nahin hai magar ye ki woh aurat baandi ho.

11. jo dekhe ki aurat ki byeeh ho rahi hai toh us ki quwat zawal pazeer hogi phir haalat durust ho jaayegi.

12. jo dekhe ki us ki beewee ne use uthaya hua ho toh us shakhs ko koi aib lagega, baaz kahte hain ki maaldari haasil hogi.

13. jo dekhe ki us ne aurat ko qatal kiya hai toh us ke maal ka ek hissa jaata rahega.

14. aur jo dekhe ki beewee kisi dusre ko hadiya bhejti hai kisi khawind ki beewee dekhe toh us ka deen khatam hoga.

Related Articles

Check Also
Close
Back to top button
error: Content is protected !!