Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

khwab mein Kitaaab dekhna


1. khwab main kitab dekhna quwat hai.

2. agar kisi ne apne haath main kitab dekhi toh us ko quwat aur taaqat milegi.

3. khuli hui kitab dekhna mashoor khabar hai agar band kitab hai toh khufiya khabar hai agar woh kitab kisi bachcha ke haath main hai toh woh basharat hai kisi longi ke haath main dekhna khush khabari hai kisi aurat ke haath main kitab dekhe toh us ka maamla hal hoga.

4. agar woh kitab khuli hui hai aur us aurat ne niqab liya hua hai toh woh khabar darawni aur mashoor hai agar woh aurat khubsoorat aur khushboo lagai hui hai toh ek achhi khabar ki daleel hai aur achhi shohrat ki alaamat hai.


5. agar kisi ne apne haath main lapeti hui kitab dekhi toh ye us ke marne ki daleel hai.

6. apne samne khuli kitab dekhna qabil rashk hone taaqat aur nemat milne ki daleel hai.

7. kisi badshah ne khwab dekha ki us ne ek sar bahar kitab ya khat kisi insaan ko diya aur us ne us ko wapis kar diya toh us ki bheji hui fauj ko shikasht hogi.

8. yahi koi taajir dekhe toh apni tijarat main khasara uthayega.

9. agar kisi ko paigham nikah diya hai toh us main kamiyabi nahin hogi.

10. khwab main apne daaain haath main kitab dekhna kisi ke saath mukhasimat karne ya us ke baarein main shak main mubtala ke liye wazahat ki daleel hai.

11. tang dast aur ghamzada ke liye kashada dasti aur gham door hone ki basharat hai.

12. apne watan se ghaaib shakhs ke liye khush o kharam apne watan ki taraf lotne ki alaamat hai.

13. baain haath main kitab dekhna apne kiye par naadim hone par dalaalat karta hai.

14. daain haath main kitab hona khushaal saal ki alaamat hai.

15. agar kitab kisi shakhs ne us se apne daain haath main li hai toh ye shakhs us se ya us ki wajah se koi qeemati tareen cheez lega………….

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!