Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

khawab me Allah ka dekhna


Allah ta-ala wah zaat paak hai jska koi mashal nahi aur wahi har waqt dekhne aur sunne wala hai.

Khwab me allah ke didaar ki mukhtalif tabeer insaan ke mukhtalif ahwaal ke etbaar se ho sakti hai.

1. Jo shakhas alllah ta-ala ka didaar raas ke jaah-o-jalaal ke saath bager kisi tasbiyo tamshil ke kare to ye kher ki daleel hai aur uske deen-o-aakhirat ki salamati ki basharat hai. Agar dibaar-e-ilaahi mazkurah halat ke khilaaf kiya to ye us ki khabas baatan par daleel hai’ khaas kar us surat me ke allah ta-ala us se kalaam na kare .

2. Agar mariz haalat-e-marz me dekhe to us ka intekaa ho jayega’ is liye ke allah ta-ala ke naamo me se ek naam haq hai aur maut bhi haq hai.

3. Aur agar raah gam kardah khwab me allah ke didaar se musharaf ho jaye to raah rasta paayega isliye ke us ne haq ko dekha hai.

4. Aur agar mazlum khwab me dekhe to apne dushmano par galba hasil kar lega.

5. Khwab me kalaam-ilaahi bager tashbiha ke sunna khwab dekhne wale ki gumrahi ki taraf mashir hai.

6. Aur ba-aj daf-a allah ta-ala ka kalaam sunna khauf se aman aur apne maksad ko pahuchane par dalaalat karta hai aur basa awkaat allah ta-ala ko dekhe bager pas pardah kalaam sunna rafa manzilaat ki taraf mashir hoga – batore khaas agar kalaam-e-wahi ki surat me ho – aur ba-aj wafa yahi khwab ‘ dekhne wale ke gumraah aur bad-ati hone par dalaalat karta hai – aur ba-aj dafa iski tabeer apni hesiyat ke mutabik darjaah pane ke ke jaati ha khasusan jab ki khwab dekhne wale ke paas allah ka pegaam rasa aajaye.Kaha gaya hai ke agar koi allah ta-ala ko esi halat me dekhe ke us ki safat aur tahreer bayaan ki jaa sakti hai ‘ to ye shaitani khwab shumaar hoga’ is liye ke allah ta-ala ko makhlukaat me kisi bhi chiz se tashbiya nahi di jaa sakati.

Agar koi shakhas allah ta-ala ko kisi makaan me esi surat me dekhe ke us ki to saif aur tarif ki jaa sakati ho to daleel hai ke dekhne wala un logo me se hai jo allah ta-ala par jhut baandhate hai aur allah ki taraf esi baat ko mansub karte hai jo allah ta-ala ki shayaan shaan nahi.

1. Jis shakhas ne allah ta-ala ko apne se humkalaam dekha aur us me allah ta-ala ki taraf dekhne ki taqat bhi hai to is ki tabeer yah hai ke allah ta-ala uske saath rehmat ka maamala farmayega aur apni nemat us par mukamal karenge.

2. Jis ne dekha ke allah ta-ala us ki taraf nazar kar rahe hai to us ki tabeer yeh hai ke allah ta-ala qayamat ke din us ki taraf nazar-e-karam farmayega.

3. Jis ne dekha ke allah ta-ala ka us par nuzul – agar wah waha namaz pad raha hai to tabeer hai ye hai ke wah rehmat khuda wandi se bahr-o-war hoga’ agar shahadat ka taalib hai to shahaadat naseeb hogi – aur apne duniyawi aur aakhrawi maksad ko payega.

4. Jis ne dekha goya ke allah ta-ala us ke sath ma-anaka kar raha hai ya us ko ya us ke kisi azoo ko bosaa de raha to daleel hai ke wah apne matlub azhar ko payega.

5. Agar kisi ne dekha ke allah ta-ala ne use muta-a duniya me se kuchh de diya to us ki tabeer yeh hai ke us ko koi musibat ya bimari laahaq hogi aur usse iska ajar-o-sawab do chand hogaaur shoharat hogi.


6. Agar kisi ne dekha ke allah ta-ala usse magfirat dakhul jannat ya kisi aur chiz ka wadaa kar rahe hai to daleel hai wah shakhas hamesha allah ta-ala se dartra rahega aur allah ki taraf matuzah rahega.

7. Agar kisi ne khwab me allah ko dekha magar us me allah ta-ala ki taraf dekhne ki taqat nahi ya arsh ya allha ki kursi ko allah ke bager dekhkle to us ki tabeer hai ke wah shakhas nek amal karega.

8. Agar koi khwab dekhe goya allah ta-ala se hum kalaam hai aur us me allah ki taraf dekhne ki kudarat bhi hai ya allah ta-ala ko arsh ya kursi k sath dekhe to daleel hai ke use kher hasil hogi aur amal me ijaafa hoga.

9. Agar kisi ne khwab dekha ke allah ta-ala use apni taraf bula raha hai aur wah dor bhaag raha hai to us ki tabeer yeh hai ke khwab dekhne wala agar aabad hai to abaadat wa taa-at se phir jayega – agar uska walid zinda hai to wah uska na farman hoga aur agar khwab dekhne wala kisi ka gulaam hai to wah apne maalik se bhaag jaayega.

10. Agar kisi ne dekha goya ke allah ta-ala aur uske darmiyan pardaah haayil hai to tabeer hai ke wah gunaah kabirah me mubtala hoga aur gunaaho ka murtakab hoga.

11. Agar kisi ne khwab me allah ta-ala ko narazagi ki halat me dekha ya allah ta-ala ke noor ko bardasht karne se qaasir raha ya khauf zadah ya larjah bara nadaam huwa’ ya allah ta-ala se apne gunaho se maafi’ tauba aur magfirat ki darkhwast ki to ye gunaaho ke artakaab ‘ gunaah kabeerah ke sad warawar ‘ bad-at wa ahwaal ki daleel hai.

12. Agar koi shakhas khwab me dekhe ke allah usse kalaam kar raha hai to us ki tabeer yah hai ke allah ta-ala usko darra rahe hai aur gunaaho se use rok rahe hai.

13. Agar kisi ne dekha ke goya allah ta-ala use hadees bayaan kar raha hai to tabeer hai ke sahab-e-khwab tilaawat-e-qur-aan kasarat se karega.

14. Agar kisi ne dekha ke allah ta-ala us se baat chit kar raha hai aur wah allah ke kalaam ko samjh raha hai to us ki tabeer yeh hai ki koi baadshah ya hakim us se kalaam karega – aur agar allah ke kalaam ko nahi samjh raha hai to tabeer us ke mutaabik hogi.

15. Agar kisi ne khwab me allah ta-ala ko dast-e-mubarak rakhate dekha to tabeer yeh hai ke allah ta-ala us ko apne makhasus bando me shaamil karke mukarab banayega ‘ lekin masayeb marte dum tak usse nahi hatayega.

16. Agar kisi ne allah ta-ala ko apne walid’ bhai’ ya kisi rishte daar ki surat me apne sath meharbani karte huwe dekha to tabeer yeh hai ke us ko koi esi musibat laahaq hogi jis par allah ta-ala us ke liye azar ajeem ata karega.

17. Agar kisi ne khwab me allah ta-ala ko kisi makaam ya kisi ghar me jahur farmate huwe dekha ya kisi jagah’ shahar ya makaan me naazil hota huwa dekhe to tabeer yeh hai ke wah ilaake’ makaan aur jagahe adal se ma-amur hogi’ allah ta-ala ke hukam se khush-haali aur kher-o-barkat ki bahtaat hogi.

18. Allha ta-ala ka narazagi ki halat me zahur hona us ilaake ke liye barbaadi’ aur ahl-e-ilaka ke liye halakat ‘ masaayib-o-aalam marazi mukhtalif me mubtala hone ki daleel hai.

19. Agar kisi ne khwab me allah ta-ala ko gamzadah’ mahbus-o-makid shakhas ke paas dekha to yah us shakhas-e-makrub wa mahbus ke liye nizaat ki alaamat hai.

20. Agar kisi ne apne aap ko khwab me allah ta-ala ko gaali deta huwa dekha(na-o-ju-billah-minh) to us shakhas ke na-shukara hone aur allah ta-ala ki takseem se naraz hone ki taraf ishaarah hai.

21. Agar kisi ne khwab dekha goya wah allah ta-ala ke saamne khada hai aur allah ta-ala ki taraf dekh raha hai aur dekhne wala nek-o-kaar aru salah hai to ye khwab us ke liye rehmat ka baas hai aur agar maskurah sift se mutassif nahi hai to us ko darrna chahiye aur apni halat ko durust karna chahiye.

22. Agar kisi ne khwab me apne aap ko allah ta-ala se sargoshi karte huwe dekha to ye allah ta-ala ke haan uske mukarab hone ki daleel hai jesa ke khwab me allah ta-ala ke samne sajadah rez hona mukarab ilahi hone alaamat hai.

23. Agar kisi ne khwab dekha ke goya allah ta-ala se pas-pardaah baat chit kar raha ho to us ki tabeer yeh hai ke us ka deen achha hoga – agar uske paas kisi ki amaanat hai to usko ada karega agar hukumat hai to wah majabut ho jayegi ‘ aur agar bager hazaab ke allah se baat kar raha hai to su ke deen ke nuksaan ki daleel hai aur agar allah ta-ala khwab me use kuchh pehana de to ye zindagi bhar gam’ bimariyo takaleef pahuchane ki daleel hai – magar us musibat-o-marz ki wazah se azar ajeem usko milega.

24. Agar kisi ne khwab me dekha goya allah ta-ala us ko uske naam ya aur kisi naam ke sath mosum kar rahe hai to uski tabeer ye hai ke apne maamale me kaamiyab hoga aur dushmano par galba payega.

25. Agar kisi ne dekha ke allah ta-ala usse naraz hai to yeh waledeen ki narazagi ki alaamat hai aur ye dekhe goya us ke waledeen us se naraaz hai to ye allah ta-ala ke narazagi ki daleel hai.

26. Agar kisi ne khwab dekha ke allah ta-ala us par gajabnaak hai to uski tabeer ye hai ke wah kisi oonche makaan se ghire ga.

27. Agar kisi ne dekha ke wah kisi deewar makaan ya pahaad se ghir gaya to us ki tabeer ye hai ke allah ta-ala us shakhas se naraaz hai.

28. Agar kisi jagah surat (murat) dekhe aur us se kaha jaaye ke ye tumhara ma-abud hai aur wah usko ma-abud samjh kar uski ibaadat kare aur us ke samane sajadah kare to daleel hai ke wah kisi batil kaam me manhamak hai aur apni daanist me usko haq samjh raha hai.

29. Agar kisi ne allah ta-ala ko kisi makaam me namaaz padhate huwe dekha to ye us makaam ya jagah ke liye rehmat khuda-wandi ki aamad ki daleel hai.

30. Agar kisi ne dekha ke allah ta-ala uski taqbil farma rahe hai aur khwab dekhne wala kher aur salah hai to uski tabeer ye hai ke wah allah ta-ala ki ata-at ‘ tilaawat kalaam-paak ya qur-aan kareem se baharah mand hoga agar khwab dekhne wala mazkurah sifat se aari hai to ye us ke gumraah aur bad-ati hone ki daleel hai.

31. Agar kisi ne khwab me dekha ke allah ta-ala usko aawaz de rahe hai aur wah uska jawaab de raha hai to uski tabeer ye hai ke ye shakhas inshallah haj-e-baitullah se sarfaraz hoga.

32. Kisi makan-e-makhsus me allah ka tajalli farmana agar wah makan kharab hota is makaan ki aabadi daleel hai ‘ aur agar pehle se hi aabad ho to uski kharabi ki daleel hai – agar us makaan ke makeen julm karne wale hai to un ke liye saja ki daleel hai aur agar majlum hai to un ke sath adal-o-insaaf ki alaamat hai.

33. Bisa-awakat kisi makaan makhasus me allah ta-ala ko tajalli farmate huwe dekhna kisi mulk azim me hone ki alaamat hai ya phir us baat ki daleel hai ke uska ma-amala kisi jaalim ke hath me hoga ya us makaan me esa aalim paida hoga jo dusaro ko faayeda pahuchayega ya usme hakim haazak paida hoga jo ma-alaje me maahir hoga.

34. Khwab me allah ta-ala se darrna itminaan-o-sukun’ guna-a wa rizk-e-wasia ki daleel hai.

35. Agar koi shakhas khud ko khuda bana dekhe to uski tabeer ye hai ke wah aadami siraat-e-mustakim par chalega.

36. Agar kisi ne dekha ke allah ta-ala usko daant rahe hai aur dhamka rahe hai to iski tabeer ye hai ke wah shakhas gunaah ka murtakab hoga.

Related Articles

One Comment

Back to top button
error: Content is protected !!