Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

khwab mein ghamgeen hona

Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main gham shaadi aur khushi hai agar dekhe ki ghamgeen hua hai daleel hai ki khushi paega aru apni muraadat ko pahucnega.

hazrat jaabir maghribi rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar dekhe ki ghamgeen hua hai daleel hai ki usi qadar maal paega aur agar dekhe ki gham se rihai hui hai toh us ki taaweel awwal ke khilaf hai.

gham

1. khwab main ghamgeen hon bedari main pareshani baad khushi aane ki daleel hai.

2. agar koi apne doston ko khwab main tangi aur gham ki haalat main dekhe toh daleel hai ki use tangi aur gham ka saamna karna hoga. khwab main gham hona beemari, apne ahal ki taraf se haasil hone wali pareshani, ya ilzaan ka samna karne par dalaalat karta hai. basawaqat gham fawaid ke khatam hone aur chalne se maazoor hone par bhi dalaalat karta hai. jabki bedari ki haalat main gham ka hona bhalai ki daleel hai. kabhi gham ki taabeer mazkura taabeerat ke barkhilaf bhi hoti hai baaz hazraat ne gham ki taabeer baaina gham se bhi batai hai.


takul (gham)

1. khwab main ghamzada hona rafae martaba, khushiyaon aur aur masarraton ki alaamat hai.

2. kabhi aulaad amhaat ke gham hone par bhi dalaalat karta hai.

ham (gham)

khwab main ghamzada hona gunahon ke liye kaffara hone ki daleel hai. bafarman rasool allah sallallahu alayehi wasallam “moamin ko koi bhi takleef pahunche hatta ki gham jis main allah taala use mubtala karte hain toh allah taala us ke gunah nama e aamaal se mita dete hain” aur kabhi gham kisi se ishq karne par bhi dalaalat karta hai. khwab main khud ko maghmoom paana bedari main ishq ki wajah se ghamgeen hone ki alaamat hai.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!