Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

khwab mein jannat dekhna


1. Kisi ne khwab me jannat ko to dekha lekin us ke andar dakhil na ho saka to us ka ye khwab is ke lie nek aamal ki bashaarat hai

2. Ba-aj aulma ne kaha ke jis shakhas ne khwab me jannat ko ayaana aur zaahira dekha to daleel hai jo chahega use milega’ aur us ka har gam dur hoga

3. Kisi ne dekha ke wah jannat me dakhil hona chahta hai magar us ko andar jaane nhi diya jaa rah hai to daleel hai ki haz ke baawajud us ko haz karne nhi diya jayega ya zihaad karna chahega magar use rok diya jayega ya us ki taabir ye hai ki gunaah se tauba karna chahega magar tauba nhi kar sakega

4. kisi ne dekha ki jannat ke darwajo me se koi ek darwaje us par band kar diya gaya’ to ye waalidein me se kisi ek ki maut ki alaamat hai

5. Dekha ke jannat ke darwaje band kar diye gaye to daleel hai ke sahibe khwab ke waaldein don intekaal kar jayenge.

6. Kisi ne dekha jannat ke saare darwaje us ke lie band kar diye gaye aur dobaara na khole gaye to daleel hai k us ke waladein us se naraz hai.

7. Agar dekhe ke jannat me ke saare darwaje khule hai aur jis darwaje se chahta hai andar dakhil ho sakta hai to daleel hai k us ke waladein us se raazi hai.

8. Agar jannat me dakhil ho gaya to daleel hai duniya wa aakhirat me farhat wa sardar aura man me hoga.

9. Agar dekha ke us ko kisi aur shakhas ne jannat me daakhil kara diya to ye sahib khwab ki maut ki daleel hai ba-aj aulm-a tabeer ne kiya hai ke sahib khwab jannat me dakhil karne wale ko janta hai to daleel hai ke us dakhil karne wale ke wa-j wa nasihat se mutasir ho kar us ke haath par gunaho se tauba karega

10. Kisi ne dekha jannat me dakhil ho gaya to daleel hai ke bari mashakkat ke baad apni muraad ko pahuchega is ke lie jannat apni khwahisho ki koorbani me chhupe hue hai ba-aj aulama ma-abren ki raaye hai ke ye sahib khwaba bari shareef kaumo ke saath hoga aur logo k sath jis ma-ashirat ka ma-amla karega aur allah ta-ala ke ahkaamat par kaarband rahega.

11. Kisi ne dekha ki us ko jannat me dakhil kiya ja raha hai aur wah dakhil nhi hota to ye sahib khwab ke shirk ki daleel hai

12. Kisi ko khwab me kaha gya tu jannat me dakhil hoga to tabeer hai us ko meraj milegi.

13. Kisi ne dekha ke wah jannat-ul-firdos me hai to daleel hai ke wah ilm aur hidayat payega.

14. Khwab dekha ke wah haste hue jannat me dakhil ho raha hai to daleel hai sahib khwab khub kasrat se allah ko yaad karega

15. Kisi ne dekha ke wah talwaar sunt kar jannat me dakhil ho raha hai to tabeer hai ke wah amir bala-amruf aur nahi un almunkir karega aur n-amat tarif aur sawaab hasil karega.


16. Kisi ne dekha ke wah jannat me taubi ke darakhat ke niche betha huwa hai to wah duniya aur aakhirat ki bhallai payega.

17. Khwab dekha ke wah riyaaz-al-jannat me hai to daleel hai ke sahib khwab ko ikhlas or deen me kamala naseeb hoga.

18. Agar khwab me jannat ke phalo se khudko kuch khate huwe dekha to daleel hai ke bekadr maaqul ilm ki daleel se maala maal hoga.

19. Isi tarah jannat ke pani, dudh, sharab wagerah me se peena’ hikmat’ ilm aur gunah ki alaamat hai

20. Kisi ne dekha ke wah jannat ke farsh par takiya lagaye betha hai to sahib khwab ki biwi ki ifat aur pakra mani ki dalil hai.

21. Agar khwab dekha ke wah jannat me dakhil hai magar ye malum nhi kab dakhil hua tha to daleel hai ke sahib khwab jab tak zinda rahega izzat payega

22. Kisi ne dekha ke us ko jannat ke mewo se roka jaa raha hai to ye sahib khwab ke deen me fasaad hone ki daleel hai

23. Kisi ne khwab dekha ke wah jannat ke mewo me se kuchh mewe chun kar dusre ko khila raha hai to daleel hai ke jis ko khila raha hai us ko ilm naf-a sikhayega aur khud us ilm ko istemaal nhi karega aur na hi us par amal karega.

24. Kisi ne dekha ke wah jannat (baagh) ko aag me daal raha hai to daleel hai ke wah apne baagh ko farojad karke us ki kimat khayega.

25. Kisi ne dekha ke wah aab-e-kausar pee raha hai to daleel hai wah izzat payega aur use apne dushmano par galb-a naseeb hoga.

26. Kisi ne dekha ke wah jannat ke baala khano me se kisi baala khane me hai to daleel hai ke sahib khwab sahib-e-riyasat hoga ya kisi khubsurat aurat se nikah karega.

27. Kisi ne dekha ke wah jannat ki wah jannat ki hooro se nikah kar raha, aur jannat ke aulama us ke aas paas ghoom rahe hai to alaamat hai ke us ko koi mamlukat aur ne-amat hasil hogi.

28. Kisi ne jannat ke khajan rizwaan ko dekha to tabeer hai to sardar-o-ne-amt payega aur jab tak zinda rahega rahega paak zindagi guzarega aur masa-ib se se mamum hoga.

29. Kisi ne khwab dekha ke wah jannat me hai aur farishte us ke paas aate hai aur us ko salaam karte hai to daleel hai ke wah ese amal par sabar karega jo us ko jannat me le jaane ka sabab banega aur uska aakhir khatama achha hoga.

30. Kisi ne dekha ke wah jannat ke babul ke darakhat ke saaye me beth gaya to daleel hai k wah apne maksad ko payega.

31. Khwab me aab-e-kausar peena’ ilm wa amal husane yakeen aur sunnate nabwi salallahu ta-al-aleh wa sallam ki abta-a ki daleel hai.

32. Kafir ke lie ye khwab muslmaan hone ki alaamat hai aur gunah gaar k lie tauba ki aur bid-ati ke lie bid-at se islaam ki taraf ruzu karne ki daleel haui ya khwab roza’ fazirah ke ba-ad joj-a saaleh se nikah karne par bhi dalaalat karta hai kabhi is ki tabeer haraam kamaai se kasab halaal ki taraf ruzu karne se bhi ki jaati hai.

33. Kabhi jannat me dakhile ki tabeer allah ta-ala ke sath husan ma-alum-a aur allah ta-ala ki taraf se ishara hoga.

34. Agar mariz aadami khwab me jannat me khud ko dakhil hote hue dekhe to daleel hai ki wah tandrust hoga.

35. Kabhi dakhul rijak halaal ahal-o-ayaal ke sath neki aur takidi ikhtiyaar karne par dalaalat karta hai.

36. Kabhi is ki tabeer mulk janaan’ barkat aut rizk ki nishani hoti hai.

37. Kabhi iski dalaalat gam khatam hone par bhi hoti hai.

38. Kisi ne dekha ki tamaam log jannat me dakhil ho gaye hai to khush haali aur badshaah ki taraf se insaaf aur phalo aur faslo me najool barkat ki daleel hai.

39. Kabhi dakhul jannat darj-a’ shahaadat par faaiz hone ki alaamat hoti hai.

40. kisi ne dekh ke wah apne isleha samet jannat me dakhil ho raha hai to yah khwab shahid hone ki basharata hai.

41. Kitab ke sath jannat me dakhil hone ki tabeer ilm-o-amal hai.

42. Aur amwal ya maal maveshi ke sath dakhil hona ade-agi-e zak-aat ke sabab me daakhil hone ki daleel hai,

43. Biwi ke sath jannat me dakhil hona duniya me uske sath husan ma-ashrat ke se zindagi gujarne par dalaalat karta hai.

44. Zikre Allah kate hue jannat me dakhil hone ki tabeer tahmeer’ daktadees ke sabab jannat me dakhil hone ki bashaarat hai.

45. baab-e-riyaz se dakhil hona roza rakhne ki alaamat hai.

46. Khwab me dakhul jannat mand raza jil amur par dalaalat krta hai majalis jakar’ na-fa bakhash tijaarat’ haj’ jihad’ amal’ ilm’ saleh daman se bachao aur dhaal.

47. Jannat ke paani ki nahar rajak ki daleel hai aur dudh ki nahar ki fitari salaamati ki daleel hai sharaab ki nahar allah ki mazat me mast hone ki aur maharam allah se nafarat karne ki alaamat hai shahad ki nahar ki nahar ilm aur kur-aan ki daleel hai jannat ke darakhto ke phal amaale saleha ke nata-ij aur ajwaz ‘ aulaad ki alaamat hai

48. darkhat tobi ke saaye me bethne aur us par tek lagane ki tabeer husn-e-aaqibat ki daleel hai.

49. Kabhi iski tabeer inkataa ibaadat ke lie shaadi na karne aur arbabe jah aur dosto ki taraf se kaayeda malne se ki jaati hai.

50. Sidarat al muntahi ko dekhna tamam makaa sadmau-ada ko hasil karne par dalaalat karta hai.

51. Jannat ke darkhato ki tabeer aulma-e-aalamin hai.

52. Jannat ki hooro aur gulmaan ke sath masaajat karna bahut saari aulaado nisaa-a gum karne aur jannat me un ke badle un se achha badal malne par dalaalat karta hai.

53. Khiwaj ke lie hooro gulmaan dekhna wakuf maa-al-alaaik ki daleel hai aamilin ke lie ye un ke aamal par daal hai ya duniyawi ne-amate mashlan makaam’ khush aishi aur anwa-iljaat ki daleel ke hasul ki daleel hai.

54. Jannat ke mahalaat me dakhil hona mand raza jil par dalaalat karta hai munaseeb aalim paan’ libaas-e-faakhirah pehnna’ shareef aurato ke sath nikaah karna’ maaldar hona aur husn-e-aaqibar.

55. Khajin jannat rizwaan aleh-isallam ko dekhna badshaah ke khajin ki mezbaani’ khair ki khabar ki khabar sunne’ waado ke pura hone aur daawo ki qabooliyat ki alaamat hai.

56. Kisi ne dekha ki usko jannat se dhutkaar diya jaata gaya to daleel hai ke woh mohtaaz hoga badaleel hazarat aadam aleh-isalaam.

57. Kisi ne dekha ke wah jannat ka tawaaf kar raha hai waseeyat rizk’ aloshan ki aur khauf jada ke lie khauf se aman ki alaamat hai, kabhi dakhul jannat gamjadaah ke lie khushi’ gair shaadi shaadah ke lie shaadi ki alaamat hoti hai.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!