islam
khwab mein Jolaha dekhna
Hazarat ibne seerin rehmatullah aleh ne farmaya hai ke khwab me jolaha mard musafir ya qaasid hai jo jahaan me ghumta hai – agar dekhe ke jolaha kapada bunta hai to daleel hai ke is ka kisi ke sath danga fasaad hoga – kyuki kapada bunane ki taawil ladai jhagada hai.
Hazarat ibrahim karmani rehmatullah aleh ne farmaya hai ke (kapado ka bunana aur chizo ke batane ka bayaan haraf baa me ho chuka hai) agar khwab me dekhe ke kapada sara bun liya hai – daleel hai ke gumnaak hoga.
Jolaha
Khwab me us ko kaamo’ tangiyo’ safar’ aur mushkilaat ki aasaani k daleel hai – kabhi is ka dekhna mariz ki maut aur us ki tadfin ki taraf isharah hota hai.