islam
khwab mein Kabootar dekhna
1. khwab main kaboorat ki taabeer amaanat daar, paigham rasaan, sachcha dost, saathi aur ghamkhwar hai. kabhi usse pak daaman, raazdaar baal bachchon ki januqsaani se turbat karne wali beewee muraad hoti hia gaahe us ki dalaalat ahalo ayaal wali aurat par aur kabhi kaseer nasl mard par hoti hai jo apne ghar hi main magan rahta ho.
2. kabhi kabootar ki dalaalat maut par nawah karne waliyon par bhi hoti hai.
3. paltu kabootari khubsoorat arbi aurat hai. us ke ande ladkiyan us ke par ladek hain. agar koi shakhs kisi ki kabootari dekhe toh woh zaani mard hai agar koi shakhs kabootariyon ko daane ki taraf bulaye toh woh aurton ko burai main lagayega kabootari ka gutargun mard ke aurat par zulm ka ishara hai.
4. safed kabootar deen.
5. sabz kabootar taqwa.
6. siyah kabootar burai.
7. safed aur kaali dabiyon wale kabootar zyada mail jol rakhne wale aadmi hain.
8. agar kabootari us ke paas se udhi aur wapis nahin aai toh daleel hai woh apni aurat ko talaaq dega ya us ki wafat hogi.
9. agar dekhe ki us ki bahut si kabootariyan hain toh us ki bahut si beeweeyan aur londiyan hongi jinhein woh naan nufqa dega.
10. agar kabootari ki par kaate toh woh apni beewi ko ghar se na nikalne ki qasam dega ya beewi se us ka bachcha paida hoga.
11. khwab main kabootari arbi londi par dalaalat karta hai. imaam ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmate hain ki kabootari door se aane wali khabar ki daleel hai ya mahbooba hai khwah aazaad ho ya londi.
12. kabootron ki jamaat riyasat hai jo dekhne wale ko milegi agar woh unka mulk bana ho.
13. agar koi shakhs khwab main kabootari zibah kare toh apni bakarah londi se juda hoga.
14. akeli kabootri londi se paida hone wale ladke ki daleel hai.
15. khwab main kabootri ka gosht khana khadimon ka maal khana ya dalaal banna hai.
16. kabootaron ko apne chuzon ke saath dekhna bandiyon ko unki aulaad ke saath muqeed karne ki daleel hai.
17. agar koi khwab main bahut kabootar shikaar kare toh use maazaz logon se maal haasil hoga. baaz hazraat kahte hain ki kabootar ko dekhne wala allah taala se jo dua karega qabool hogi.
18. agar ghar main kabootari dekhe aur khwab dekhne wala ghair shaadi shuda hai toh khubsoorat muhabbat karne wali aurat se shaadi karega aur ghar ki badi (aurat) us ki beewi ke muafiq hogi.
19. agar dekhe ki kabootari ne us par chhalang lagai ya use le kar udhi toh use masarrat, maal o daulat aur nemat haasil hogi.
20. jo aadmi khwab main kabootari ban jaye toh ishara hai woh dushman ka maal khayega kabhi kabootri se muraad aane wala khat ya khabar hoti hai is liye ki kabootar khat le jaate the.
21. agar koi shakhs tangi main ya apne kisi azeez ke ghaib hone ki haalat main kabootari dekhe toh ye us ke liye khushkhabri hai illan ye ki khwab dekhne wala mareez ho.
22. agar kabootari mareez par gire kyon ki us soorat main us ki dalaalat us ki maut par hogi bil khusus agar kabtoori yamayah ki ho aur khwab main us ke sar ke qareeb ruye kabhi kabootari se muraad beti hoti hai taabeer ke lihaz se sabz kabootar afzal hai.
23. agar koi shaskh kabootari ki aankh main aib dekhe toh us ki beewi ke deen ya ikhlaas main aib hai.
24. agar koi shakhs kabootari par andaazi kare toh daleel hai apni aurat par tohmat lagayega ya qataa kalami karega.
25. agar kisi kabootari se ande haasil hue toh use apni beewi se maal ya betiyan haasil hongi.
26. agar koi shakhs khwab main paltu kabootaron ka shikaar kare toh aurton se haraam karega.
27. kabootari ya kisi deegar parinde ko qaid karna apni beewi ko kuch sikhana aur us ki talqeen karna hai.
28. agar kisi ne kabootari ko apne sar, kandhe par ya gardan se lapeta dekha toh ayese amal ki daleel hai jo us ke aur allah ke man bain hai.
29. agar parinda siyah bad soorat ho toh bure amal aur fasad deen ka khatrah hai.
30. agar safed khubsoorat ho toh hasan amal aur islah deen ki daleel hai agar kisi ne kabootar ko zakhmi kiya ya us ka gosht haasil kiya toh use bahut se maal door aham haasil honge.