islam
khwab mein Kafan Chor dekhna
Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar koi khwab main dekhe ki kafarn chor hua hai agar sahibe khwab ahale ilm se hai daleel hai ki baatil duniya ki talab main apna ilm baichega aur aur apni umar us main zaaya karega.
hazrat jaabir maghribi rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar kafan chor dekhe ki us ne bahut se kafan jamaa kiye hain daleel hai ki maslah hoga aur ilm o hikmat haasil karega aur baaz ahale taabeer ne bayan kiya hai ki maale haraam jama karega aur logon se malamat aur sar zinsh payega.
1. khwab main us ko dekhna bhuli hui baaton ki tahqeeq karne aur khud kareed karne ki taraf ishara hai ya raazon ke faash hone daaka daalne aur haraam kamai karne ki daleel hai aur kabhi nibash ki dalaalat maamlaat main dakhil hone wale mashoorat aur makhfi uloom ke maataluq khazanon ki tahqeeq karne wale par bhi hoti hai aur kabhi kamzor ahale bidaat ke saath madakhalat par bhi dalaalat karta hai.
2. khwab dekha ki woh qabootar ko khol raha ahi magar mardon ko bahar nahin nikal raha hai toh daleel hai us ke mushkilaat hal honge aur khush khabriya milengi.
3. khwab main mardon se apni zarooriyat ke maatauq baat cheet karna zarooriyat ke puri hone aur maqsood ke haasil hone par dalaalat karta hai.
4. kabhi kafan chor ki dalaalat qasaas lene wale jallaad par hoti hai kabhi khwab main qabar kholna duniya ki ronkaq aur dukhon ko talab karne ki alaamat hai.