Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

khwab mein keechar dekhna


1. keechad dekhna aamad kher ki alaamat hai khasusan agar woh qadre sakht bhi ho.

2. faqeer shakhs ke liye ye khwab aasaan tareeqe se rizaq milne aur faqah khatam hone ki daleel hai.

3. ghair shaadi shuda keechad dekhna shaadi karne aur saas o sar wale hone ki itla hai aur kabhi keechad thodi bahut ayesah par bhi hoti hai.

4. khwab main us ka hasool sahibe khasar wa saas hone ki daleel hai aur kabhi us ki dalaalat gham, sadqah aur khauf par bhi hoti hai.

5. khwab main keechad ke andar daakhil hona gham wa hazan ke saath sardar banne ki daleel hai aur kabhi keechad ki dalaalat zaaid amwaal aur mubaadi munafaa aur kher aur sardari zaahir hone par hoti hai.

6. khwab main keechad main chalna gham aur dushwari fitna wa mashqqat main mubtala hone ki daleel hai.

7. kisi ilaqe main keechad dekhna us ilaqe main rahne walon ke liye gham wa takleef pahunchne par dalaalat karta hai aur us main daakhil hone ki bhi yahi taabeer hai.

8. agar qawi ghalib shakhs khwab main baarish main chalta hua khud ko dekhe toh baqadar keechad dushwari aur gham main mubtala hoga.

9. aur baaz ulma taabeer ke nazdeek khwab main keechad main chalna badan main nuqsaan waqe hone par dalaalat karta hai.


10. mareez skhakhs ka keechad main daakhil ho kar us se nikalna marz se nikalne aur aafiyat pahunchne aur keechad se na nikal sakna us beemari ke daaimi hone ki alaamat hai.

11. agar sahat mand shakhs khwab main keechad main dakhil ho jaye ya us main chalta rahe aur us se us ke kapde aur jism maloos na ho jaye toh ye kisi bala ya qaid main mubtala hone ya kisi badshah ke haath chadne ke baad apne deen o duniya ko bacha kar niklane ki daleel hai.

12. agar us se na nikal sake toh ye mazkura masaaib main mubtala hone par dalaalat karta hai.

13. khwab main gaadha keechad eeint banana taabeer ke aatbaar se koi achha nahin hai is liye us ki dalaalat gham, museebat aur jhagdhe par hoti hai lekin woh eeint aur mitti khushk ho jaye toh taabeer hai mahnat o mushaqqat ladai jhagde aur takleef ke baad milega aur kabhi us khwab ki dalaalat deen, izzat, maal ke maamle main kalaam karne aur kabhi us ki taabeer aurat ke liye bete se haamila hone par hoti hai. allah taala ka farman hai “aur kabhi keechad ki dalaalat kaamon main taatal waqe hone aur kabhi namazon se munqata hone par bhi hoti hai aur kabhi keechad ki dalaalat gujre hue ya aainda saalon par bhi hoti hai aur kabhi kabhi keechad ki dalaalat ahwaale gujishta ya aainda saal par hoti hai aur kabhi us ki taabeer qaari ke liye sakhti se bhi ki jaati hai aur kabhi us ki dalaalat nematon par allah taala ke saath kufar o shirk par fakhar karne par bhi hoti hai.

14. khwab main apne sar aur daadhi ko mitti se lat pat dekhna zaraat ka kaam karne ki daleel hai.

15. khwab main keechad ka mitti banna achha shohrat ki daleel hai aur allah taala ki ataat ka sabab hai.

16. is keechad ka khushk ya gundha hua aata banana apni mahnat se pak o halaal rizaq kamane ki taraf ishara hota hai.

17. kaali rang ki mitti ka surkhi main tabdeel hona ek zameen se dusri zameen ki taraf muntaqil hone ya ek khalqat se dusri khalqat akhtiyar karne par dalaalat karta hai ya kaalon par safedon ko tarjeeh dene ki alaamat hai.

18. us ke surkh mitti ke rang ka kaala hona safed aurton ko chhod kar kaaliyon ki taraf maail hone ki taraf ishara hai aur kabhi keechad ki dalaalat bad khalaq aurat par bhi hoti hai. qahat aur zameen ke banjar hone ke zamane main khwab main keechad dekhna sabzah ki kasrat ki basharat hai.

19. kunwein ke keechad ki dalaalat meeras aur zahoore barkat par bhi hoti hai ya kunwein se maabbir logon ke asraas se waqfiyat ki alaaamat hai.

Related Articles

Check Also
Close
Back to top button
error: Content is protected !!