islam
khwab mein Khajoor Ka Khush dekhna
Us ki dalaalat maal jama karne par honi hai aur us ki dalaalat insaan ki qaum aur qabile ke ek fard par bhi hoti hai.
1. us ki taabeer rizaq, zawjah ka hamila hona hai.
2. agar koi mareez hai toh shifayab hoga aur baaz martaba us ki taabeer ye hoti hai ki mareez ki wafaat ho jaayegi ya qaid hoga ya zakhira andoji karega.
3. jis shakhs ne dekha goya us ko dau teen ya us se zyada khajoor ke khushe mile toh ye daleel hai ki us ko aulaad haasil hogi.
4. agar us main se kuch khaye toh apni aulaad ki kamai khane ki daleel hai.
5. khajoor ka khusha dekhna us ke huq main kher ki alaamat hai.
6. agar woh khusha zard tha aur khaya naihin toh alaamat hai ki haakim sahib talaa par ghazabnak hoga phir woh us se raazi ho jayega aur talba ki taabeer haasil hone wala maal bhi hai.