Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

khwab mein Larza Tari Hona

Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar koi khwab main dekhe ki aasmaan ka kanpta hai daleel hai ki us mulk main fitna aur fasaad aur zulm bahut hoga aur agar dekhe ki aaftaab aur chand kaanpte hain daleel hai ki us mulk ke badshah ko ranj aur zarar pahunchega aur agar dekhe ki sitaare kaanpte hain daleel hai ki badshah ke maqarbun main pareshani zaahir hogi aur agar dekhe ki zameen kaanpti hai toh fitna aur aafat par daleel hai ki aur agar dekhe ki pahad kaanpta hai daleel hai ki us mulk ke badshah ko nuqsaan pahunchega.


hazrat jabir maghribi rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main dekhe ki arsh kaanpta hai toh aalimon ki bad diyanti aur fasaad par daleel hai aur agar loh wa qalam kaanpte hue dekhe toh munsaffon aur ahale ilm ki bad haali par daleel hai aur agar saat aasmaanon ko larazte hue dekhe daleel hai ki us mulk walon ke fasaad ki wajah se huq taala ka azaab aur gussa hoga aur agar dekhe ki chand aur suraj taaron ki jahat par kaanpte hain toh us mulk ke badshah ki jung aur khub soorat aur qatal wa khoon rezi par daleel hai aur agar dekhe ki badshah ka makan ya mahal kanpta hai daleel hai ki us maujaa walon par mahnat aur aafat padega aur agar dekhe ki us ka jism kaanpta hai toh fasaad aur museebat par daleel hai. khwab main insaan ka larzana beemari ya gham ya budhape ki wajah se kapkapi taari hone ki daleel hai baaz dafaa ye khwab sahat yaabi hadas mizaaj aur zahoor quwat par daal hota hai chunancha koi shakhs apne kaam main mahnat kare toh kaha jaata hai araad falaan.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!