islam
khwab mein Lehaf dekhna
Hazrat seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main lehaaf aurat hai agar koi khwab main dekhe ki us ke paas naya aur pakiza lehaaf hai daleel hai ki aurat karega aur agar dekhe ki naya lehaaf khareeda hai toh daleel hai ki kunwari bandi khareedega aur agar dekhe ki us ka lehaaf zaaya hua hai daleel hai ki aurat ko talaaq dega aur agar lehaaf phata hua aur maila dekhe toh daleel hai ki us ka ayaal na muwafiq aur ladaka hoga.
hazrat jabir maghribi rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar dekhe ki us ek paas lehaaf hai daleel hai ki deen daar aur tawangir aurat karega aur agar safed lehaaf hai toh daleel hai ki us ki aurat tawangir aur parsa hogi aur agar surkh lehaaf hai daleel hai ki deen daar aur tawangir aurat karega aur agar safed lehaaz hai toh daleel hai ki us ki aurat tawangir parsa hogi aur agar surkh lehaaf dekhe toh daleel hai ki us ki aurat ayyash hogi aur zard lehaaf dekhe toh beemar jesi aurat par daleel hai aur rang daar lehaaf farebi aurat par daleel hai.
hazrat jaafar sadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main naya lehaaf dekhna teen wajah par hai 1. ilm waali aurat 2. kunwari ladki 3. kunwari baandi.
uski dalaalat beewi par hoti hai kisi ne khwab main dekha ki woh raat ko lehaaf audh kar so gaya toh daleel hai woh nikah karega ya sukoon o raahat main hoga lehaaf ki dalaalat raahat o taaqat par bhi hoti hai.
uski taabeer quwat sund hasan o jamal wali aurat hai chunancha audh audh kar so jana kisi aurat se nikah karne ki basharat hai khwab main moti ka lehaaf dekhna beewi ke haafiza quraan hone ki basharat hai.