Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

khwab mein Lemon dekhna


Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main lemoon ka mausam aur be mausam dekhna beemari aur dard aur ranj par daleel hai ki agar sabz hai toh gham wa andwah kam tar hoga aur lemoon ke dekhne aur khane main munafaat wa khair nahin hai aur allah taala hi behtar ko khub janta hai.


1. lemoon milna malamat hone ki daleel hai.

2. aur ek lemoon maunas ki daleel hai.

3. peele rang ka lemoon khana marz ki daleel hai.

4. khwab dekha ki woh lemoon ka mulk bana magar us se khaya nahin toh ye maal milne ki daleel hai.

5. peele rang ke muqable main sabz rang ka lemoon taabeer ke lihaaz se behtar hai sabz rang ki taabeer peele rang se behtar hai chahe maive hon ya kapde aur lemoon ki dalaalat karne wale ki malamat par bhi hoti hai.

6. chunancha kisi insaan ko lemoon pakda dena use malamat karne ki daleel hai.

7. lemoon ka darakht ek kaseer al nafaa shakhs par dalaalat karta hai.

8. baaz ahale taabeer ke nazdeek ek uski dalaalat tede mazaah ki maal daar kaseer al nafaa khatoon par hoti hai.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!