islam
khwab mein Rug Kholna
1. khwab main kisi maahir se zaroorat ke tahat pachhne lagwana rahat aur beemari se shifa paane par dalaalat karta hai jabki baghair zaroorat ke pachhne lagwana us azu main pesh aane wale beemari se darane ki daleel hai.
2. khwab main pachhne lagwane wala aadmi us aadmi ki tarah hai jis ko baidaari ki haalat main baazu ki “ahakal” naami rag main pachhne lagwane ki zaroorat ho jabki woh kahne ke qareeb “ba saleeq” naami rag main puchhne lagwayega ya mazkura khwab dekhne wala us aadmi ki tarah hoga jis ko baidaari main kuhni ke qareeb ba saleeq naami rag main puchhne lagwane ki zaroorat thi lekin puchne lagane wale ne haath ki ek qeefal naami rag main puchhne lagaye mashoor ragon main puchhne lagane ko usi par qayas kar liya jaaye.
3. agar khwab main kisi azu main pachhne lagaye to baidaari main kisi aarz ki wajah se us azu main pachhne lagwane ki ahtyaj ki taraf ishara hai.
4. agar khwab main kisi ne jawan aadmi ko dekha ki us ne lambai main rag khulwai hai toh us main ishara hai ki fasal lagwane wala dushman ki janib se asar wala kalaam ya taana sunega aur us ka maal bhi dauguna ho jayega.
5. lekin agar fasad chaudaai main aaya jis se us ki rag bhi kat gai toh us main dalaalat hai ki jese us ki rag khatam ho gai woh bhi anqareeb faut ho jayega basa awqaat us se sahibe khwab ki apni maut ki taraf bhi ishara hota hai.
6. khwab main daain haath main fasad ho toh maashiyat aur maal ke maamle main kamiyabi ke saath maal ke bhi dau chand hone ki daleel hai.
7. khwab main baain haath main fasad alaamat hai ki us ke shareek aur dost ke maamle main kamiyabi ke saath us ke shareek aur doston main bhi izaafa hoga. sahibe khwab ki agar beewi ho toh woh aurat moti hone ke saath saath aurton main bahtari payegi.
8. agar khwab main sar ki ragon main se kisi rag main fasad lagwaya toh woh kisi dusre sardar se astfada karega.
9. agar khwab main kisi ko dekha ki us ne sahibe khwab ko pachhne lagwaya toh us ke doston ki jaanib se baat sunne par dalaalat karta hai.
10. phir agar rag se khoon nikala toh us ko us par ajar hoga.
11. agar khoon na nikla toh use us silsile main huq baat kahi jayegi aur pachhne lagane wala gunah se aaraz karega.
12. agar sahibe khwab ko kisi ne chaudai main pachhna lagaya aur us se rag kat gai toh us ke aur pachhna lagane wale main qata kalaami hogi aur agar fasad lambai main lagaya toh phir daunon ke darmiyan taaluq aur zyada hoga.
13. agar dekhe ki jo un aadmi ne fasad lagaya jis se khoon bhi nikla toh daleel hai ki woh badshah ke naaib ko milega aur nikalne wale khoon ki baqadar badshah ke naaib se maal haasil karega.
14. agar chaudai se rag khuli jis main rag kat gai toh badshah use takleef na pahuncha sakega.
15. agar us ne lambai se fasad lagaya toh badshah daubara us ki taraf lotega.
16. agar khwab main kisi aalim ne sahibe khwab ko fasad lagaya aur rag khulne se niklane wali cheez tashtari waghaira main nili toh sahibe khwab beemar hoga aur us ka maal bachchon ki paas jaane ke saath daaktaron par bhi kharch hoga.
17. agar khoon aur kharash na dekhi gai toh woh apni beewi ki janib se baat sunega aur use us fasad main haasil hone wali takleef ke baqadar takleef ka saamna bhi hoga.
18. agar kisi ne khwab main pachhne lagwaya lekin us se khoon nikalne ko na pasand kiya toh daleel hai ki woh beemar hoga aur sue maali aatbaar se bhi zarar ka saamna hoga.
19. agar khwab main fasad ne nafa diya aur khoon bhi munasib miqdaar main nikla toh jism usi saal theek ho jayega aur deen bhi saheeh hoga.
20. agar khwab main ghair se fasad chaudai main lagaya jis se rag bhi kat gai toh us aurat aur us ke rishte daaron main se kisi ki maut ya hayaat ki wajah se qataa taluk ho jayega.
21. agar khwab main kisi ne dekha ki woh fasad ka iraada kar raha hai toh ishara hai ki woh gunah se tauba ka iraada rakhta hai.
22. agar khwab main khoon ke ghalib hone ka guman ho toh us ke khwahishat aur gunahon main mubtala hone par dalaalat karata hai.
23. khwab main agar pachhna lagwaya jis se khoon bhi nikla toh tauba karne ke saath gunahon se ruju karega
24. agar khoon ka rang kaala tha toh daleel hai ki sahibe khwab bade gunah par masar hai taaham anqareeb us se tauba karega.
25. agar kisi ne khwab main khud ko fasad lagwate dekha aur fasad se khoon bhi nikla toh woh gunahon se nikal jayega ya us ke haath se koi cheez zaaya ho jayegi lekin phir sue mil bhi jayegi is liye ki nashatar qalam aur siyahi ki tarah hota hai bakarah aurat ka khwab main fasad lagwana us ke shaadi karne par jabki bachha ke liye fasad khatna karne par dalaalat karta hai. khwab main qaidi ka fasad qaid se nikalne ki basharat hai kyon ki khoon bhi ragon main qaid hai hamila aurat ka fasad waja hamal aur nifaas par dalaalat karta hai.
26. agar fasad mashoor jagah ke alawa kahin aur ho toh ahtamaal hai ki aurat hamal saaqit karegi khwab main fasad badan ki dekh bhaal main maal kharch karne par bhi dalaalat karta hai baaz ahale taabeer ke nazdeek fasad wati par daal hota hai kyon ki mani khoon sui se banti hai khwab main maaldaar aadmi ka fasad us ke maal ki zakaat ki taraf mayashshar hota hai.