islam
khwab mein Seemargh dekhna
Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki agar khwab main nar seemargh ko dekhe daleel hai ki khush tabee aur buzurg aadmi se dosti karega, aur agar maada seemargh ko dekhe daleel hai ki aurat bajamaal aur khubsoorat hai aur agar dekhe ki seemargh us se baat karta hai daleel hai ki badshah ka wazeer hoga aur agar dekhe ki seemargh se jang kiya hai daleel hai ki kisi badhe aadmi se jhagdha karega aur agar dekhe ki seemargh ka gosht khaya hai daleel hai ki usi qadar badhe aadmi se maal paayega.
hazrat ibraheem kirmani rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki agar dekhe ki us ne maada seemargh ko maara hai daleel hai ki kunwari aurat se shaadi karega aur agar dekhe ki seemargh us ke haath se udhaa ha daleel hai ki aurat ko talaaq dega aur agar dekhe ki seemargh ka bachcha pakdha hai daleel hai ki us ke bewaqoof ladha paida hoga.
hazrat jaabir maghribi rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main seemargh badshah hai agar dekhe ki seemargh ko chah main utara hai aur ahal ko chah ne us ko maar dala hai daleel hai ki us mulk ka badshah halaak hoga. agar dekhe ki seemargh se dara hai daleel hai ki badshah se inaam paega.