Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

khwab mein Taas (tasht) dekhna

Taas

hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main tasht nokraani hai ya ghar ki khidmat ki kaneez hai agar dekhe ki us ka tasht toot gaya hai daleel hai ki woh aurat us se juda hogi ya maregi.

hazrat ibraheem kirmani rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main tasht nek aadat wali kaneez hai aur agar dekhe ki us ko kisi ne paani ka tasht diya hai aur us ne peeya hai ki us ke farzand hoga aur agar dekhe ki tasht toota aur paani bah raha hai. daleel hai ki kaneez maregi aur farzand rahega aur agar dekhe ki paani gira aur tasht salaamat raha hai daleel hai ki farzand marega aur kaneez bachegi.


hazrat jaafar saadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main tasht ka dekhna chaar wajah par hai 1. aurat 2. kaneej 3. farzand 4. aurton se munfaat.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!