Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

khwab mein Tabeeb dekhna


Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar dekhe ki tabeeb ne beemar ka ilaaj kiya aur tandrust hua daleel hai ki kisi ko fasaad ke raaste se islaah par laayega aur agar dekhe ki is par aur kabhi ziyada sakht beemar ho gai hai toh us ki taaweel khilaaf hai aur agar dekhe ki logon ko daw di hai aur us se nafaa hua hai daleel hai ki ilm aur naseehat paega aur log us ki naseehat qabool kaenge aur us ke ilm par amal karenge aur agar us ki dawa nafaa nahin hai toh us ki taaweel khilaaf hai aur khwab main tabaabat karna parsa aadmi ke liye raahe deen aur aakhirat ka raahe raast hai aur mufsad aadmi ke liye jism ki durusti aur kasab o maashyat hai.

1. tabeeb ko khwab main dekhne ki taabeer aalim hai, jesa ki mufti aur faqiya tabeeb hote hain.

2. agar dekhe ki koi tabeeb us ka ilaaj kar raha hai toh alaamat hai ki woh shifa paega.

3. agar dekhe ki koi aalim waaz kar raha hai toh daleel hai ki woh shak o nafaaq ko us ke seene se nikalega aur us ke deen ko theek karega.

4. tabeeb ko khwab main dekhne ki taabeer faqiya bhi hoti hai.

5. har woh aadmi ki jise mukhasimat ka saamna tha toh agar us ne khwab main ataabaa ko dekha toh ye dalaalat karta hai sahibe khwab ke madmuqablon, daleelon par jesa ki kisi mareez ne khwab main kisi mukhasim ko dekha toh daleel hai bedaari main kisi doctor ki khidmaat haasil karega, tabeeb ki taabeer insaan ki maan bhi hoti hai.


6. pas shakhs ne dekha ki us ka maalj mar gaya hai toh daleel hai ki us ki maan ki wafaat hogi.

7. agar kisi ne dekha ki tabeeb beemar ke paas aaya hai toh alaamat hai ki woh beemar shifa paega.

8. agar dekhe ki tabeeb kisi sahat mand aadmi ke paas aaya hai toh woh (sahat mand aadmi) beemar ho jaayega.

9. agar dekhe ki tabeeb ne koi nafaa cheez batalaai hai toh ye alaamat hai woh logon ko naseehat karega aur us ke ilm ki alaamat hai neez logon ko us se nafaa hoga aur baaz martaba khwab main tabeeb dekhne ki taabeer poshida cheezon ko nikalne wale maslan seera o madari wagera par dalaalat karta hai. aur baaz martaba tabeeb ko khwab main dekhne ki taabeer jaado dene wale, chughalkhor, taanazan, logon ki khabron ko toh lanane wala, jang ke liye tayyar, ya muharib shakhs hota hai. pas kabhi woh ghalib aata hai aur kabhi maghloob hota hai.

10. aur jis shakhs ne dekha ki woh tabeeb ban gaya hai toh ye daleel hai ki use aala mansab haasil hoga aur baaz martaba us ki taabeer ye hoti hai ki woh sipahi banega aur tibbi ki dalaalat maslah, aur deen o duniya ke amwar ko durust karne wale shaksh par hoti hai jesa ki faqiya, haakim aur woh aaaz ki jis ka waaz marham aur taryaq ka kaam deta hai jesa ki, mojjib, seed, hewanat ki khaal ko dabaghat dene wala, pachhne lagane wala, chunki pachhne lagane se bhi shifa haasil hoti hai.

11. jis shakhs ne dekha ki qaazi tabeeb ban gaya hai toh alaamat hai ki us ki rafaaqat main azaafa hoga aur us ka nafaa badhega.

12. jis shakhs ne dekha ki tabeeb qaazi ya faqiya ho gaya hai pas agar woh soojh boojh rakhne wala musalman aadmi hai toh us ki shohrat hogi, martaba buland hoga, aur peshe main us ka mukqam ooncha hoga. aur agar maamla us ke baraks hai toh alamat hai ki aazmaishon ka samna karna padhega. aur shayad koi aadmi us ki tababat ke nateeje main halaak bhi ho jaaye chunki khwab main woh ayese pesha se mansalak nazar aaya hai jo us ka pesha nahin.

13. aur jis shakhs ne dekha ki tabeeb kafan bhej raha hai toh us se bachna chahiye chunki woh apne peshe main khaain hai. khaas taur par jabki woh kafan naya ho toh us main daleel hai ki woh gadh badh karta hai. aalim logon ko dhoka deta hai.

14. jis shakhs ne dekha ki tabeeb dabbagh bana betha hai toh ye alaamat hai us ki maharat aur us ke zariye shifa haasil karne walon ki kasrat ki. agar woh baghat achhe taur par nahin de raha hai toh daleel hai ki woh jaahil hai aur logon ko dhoka de raha hai.

Related Articles

Check Also
Close
Back to top button
error: Content is protected !!