islam
khwab mein Shadi Biyah dekhna
Zawaaj (shaadi, biyah)
1. khwab main ye allah taale ki taraf se inaayat par dalaalat karta hai kabhi shaadi qaid, qarz par yashaani aur gham, kisi ki zamaanat main aana aur badhe badhe auhade lene ke liye koshish karne par dalaalat karte hain.
2. agar naa maalum aurat se shaadi ki ya khwab main aurat ko dekha hi nahin toh ye maut ke qareeb hone ki nishaani hai aur ek muqaam se dusre muqaam se dusre muqaam ki taraf muntaqil hone par daal hai agar amaarat ke qabil hon ya wilaayat ke ahal ho toh ameer aur waali banaya jaayega ya apne laaik mansab akhtiyaar karega.
3. agar khwab main shaadi sirf shahoot ki shakal main ho toh ye allah ke saath achhe maahada ki alaamat hai.
4. aur agar zafaaf ki shakal main ho jis ka aam taur par hota hai toh ye mansab aur achhi shoharat ki ilaamat hai hai, shaadi harfat se bhi taabeer ki jaati hai.
5. toh agar kisi ne khwab dekha ki us ne aurat ke saath shaadi ki aur woh mar gai toh taabeer hai woh ayesi harafat main kaam karega ki jis main siwaye kaam, thakawat aur pareshani ke kuch haasil na karega.
6. agar kisi ne dekha ki us ne yahudi aurat ke saath shadi ki hai toh woh ayese kaam ki koshish kar raha hoga jis main woh gunah aur buriyon par jaraat kar raha hoga. agar kisi ne dekha ki us ne isaai aurat ke saath shaadi ki hai tho woh ayesa pesha akhtiyar karega jo ki ghalat aur pur fitan hoga.
7. agr majusi aurat hui th ye ayesa pesha hoga jo ki be deen hoga.
8. agar kisi ne zaaniya ke saath biyah kiya toh woh khud jaani hoga.
9. agar kisi ne ayesi aurat ke saath shaadi ki jo us par ghalib ho toh woh bhaari qaid bhugtega.
10. agar kisi ne kutta ke saath shaadi ki toh woh koi bura aur ghatiya kaam karega.
11. agar kisi ne dekha ki baajon aur gaane wali aurton ke jalwon main badshah ki beti se shaadi ki toh woh nuqsaan ki jadh yaani sharab peeta hoga.
12. agar kisi ne dekha ki ek aadmi ne aurat se shaadi ki hai aur phir us ko pesh kardi toh woh aurat ke khawind se maal paega.
13. aur agar shaadi ki aur khud us ke paas chala gaya toh us ka pahla haqeeqi khawind us ka khwab main shadi karne wale khawind se maal aur bhalai paega.
14. agar kisi ne apni beewee ko dekha ki us ne kisi bukhar zada mard se biyah kar liya hai toh us ko hamesha ka bhukhar ho jayega.
15. agar kisi ne badshah ki beewee se nikah kiya toh taabeer hai ki woh badshahat paega agar us ka ahal ho warna koi riyaasat wagera haasil karega.
16. agar kisi ne murda aurat se shaadi ki toh woh murda ke us maamale ko hal karne main kamyab hoga jis se woh maayus ho chuka hoga.
17. agar beemar aurat ne nikah kiya lekin na us ne khawind ko dekha na hi us ko pahchanti ho aur na hi us ka naam jaanti ho toh woh mar jaaygi, ayese hi beemari aadmi agar khwab main shaadi kare aur na hi beewee ko dekhe na hi us ke saamne us ka naam bayaan kiya gaya toh us ki bhi yahi taabeer hai ki woh mar jayegi.
18. agar kisi ne apni baandi kisi insaan se biyahi toh woh apni jayedad bechega.
19. agar kisi haamila aurat ne khwab dekha ki us ne shaadi ki hai toh woh bachchi ko janam degi aur agar woh dulhan ki tarah khwab main dikhai di toh woh ladhka janegi.
20. agar kisi aurat ka ladhka hua aur woh ye dekhe ki us ne nikah kiya hai toh woh apne bete ka nikah karayegi agar kunwari ya shaadi shuda aurat se shaadi ki toh woh khair paegi.
21. agar kisi aurat ne apna nikah murda aadmi se kar liya toh us ka ghar ujadh jayega aur woh faqeer o faaqa main mubtala hogi.
22. ayese hi agar meet us ko murda khaana main lejaye aur woh murda ko pahchanti bhi ho tab bhi yahi taabeer hogi.
23. agar mayyat ko na pachanti ho toh woh mar jayegi.
24. agar kisi ne dekha ki us ne kisi aurat ke saath shaadi kar ke us se dakhul kiya toh woh murda ke kisi maamale main apni reesha dawaniyon sse kamyab hoga, aur woh maamle ahmiyat main us aurat ke jamaal ki qadar hoga agar dakhul nahin kiyha tohus ki kamyabi us se kam hogi jitni ki agar woh dakhul kar leta.
25. agar kisi ne dekha ki us ne aurat ke saath shaadi karli haalanki us ki apni ek zyada beeweeyan toh woh bhalai aur ghalba paega us aurat ke husne o shakal ke baqadar lekin shart ye hai ki woh usko dekhe ya pahchanta hua agar woh us ko na pahchanta hona hi us ka naam jaanta ho lekin us ke liye taiyyar ki jayai toh ye us ki apni maut ya us ke haathon kisi ki maut ki alaamat hai.
26. agar kisi ne dekha ki us ne kisi namaalum budhe ki ladhki se shaadi karli toh woh bahut maal paega.
27. agar koi aurat khwab dekhe kius ne kisi namaalum budhe se shaadi rachali hai toh woh bhi bahut bhalai paegi, agar beemari se afaaqa hoga.
28. agar kisi ne dekha ki us ne apni mahram auraton main se kisi murda aurat se nikah kiya toh woh us se silah rahmi karega aur agar zindagi ho toh qataa raham karega, agar kisi ne dekha ki us ne zawaate maharam se shaadi karli hai toh woh apne ghar walon par hukumrani karega. beewee khwab main shareek, dushman, jaabir, jhagdalu ya zadi badshah, sawar, sawar aur har woh cheez jis par zameen dalaalat karti hai jese rahat, thakawat, khair o wagera sab cheezon par dalaalat karti hai kyon ki woh un sab ke zyada munasib hai.