Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

khwab mein larki ko dekhna


Dukhtar

hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main ladki ka dekhna shaadi aur khushi hai aur agar khwab main dekhe ki us ke ladki hui hai ya kisi ne us ko di hai ya bakhshi hai daleel hai ki ladki ke jamal aur khubi ke mutabiq us ko maal o nemat aur khushi haasil hogi aur agar dekhe ki ladki mari hai toh taaweel awwal ke khilaaf hai.


hazrat ibraheem kirmani rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki agar dekhe ki ladki naqis aur maili hai toh gham ki daleel hai aur agar dekhe ki ladki ko gaud main le kar gaya hai toh khair o munafaat par daleel hai aur agar dekhe ki apni ladki kisi ko di hai daleel hai ki us se us aadmi ko khushi pahunchegi.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!