islam
khwab mein Khane Ki Taraf Bulana
1. khaane ki taraf daawat dena kheer par jamaa hone ki alaamat hai.
2. khwab main dusron ko khane ki taraf daawat dene ka iraada karna khud ko kisi ayese kaam main daalne ki daleel hai jis main uski mulazimat hogi aur us amal se usko takleef hogi.
3. kisi ne khwab dekha ki us ne daawat ka program banaya aur log us main haazir hue aur un ko khaane se faariq hote hue dekhe toh sahibe khwab un par hukumat karega.
4. agar us jagah ghamzada ho ya koi mareez ho toh gham door hoga aur marz se shifa naseeb hogi.
5. khwab main daawat ka ahtamam karna kisi ghaaib shakhs ke haazir hone ki bhi daleel hai khwab main logon ko ziyafat ke liye daawat dena ayese kaam karne ki bhi daleel hai jis main woh naadim aur malamat ka shikar hoga.