islam
khwab mein Koshak(mahal) dekhna
Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar koi khwab main dekhe ki mahal main gaya hai daleel hai us ka chaha hua maal haasil hoga khaas kar agar mahal khasht khaam ya mitti ka hai aur agar pukhta eeint ya mitti ka hai toh maal par daleel hai lekin us ke deen main nuqsaan hoga aur agar dekhe ki badshah ne us ko mahal diya hai daleel hai ki woh badshah se maal haasil karega.
hazrat ibraheem kirmani rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar dekhe ki us ka mahal kharab hai daleel hai ki us ka maal talf hoga aur agar dekhe ki us ke mahal main aag lagi hai daleel hai ki badshah sahibe khwab se tawaan lega.
hazrat jafar sadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main mahal ka dekhna aath wajah par hai 1. nemat 2. wilayat 3. martaba 4. riyasat 5. buzurgwari 6. badshahi 7. rahat 8. mahal ki bulandi aur khubi ke mutabiq khushi aur shaadi aur martaba haasil karega.