islam
khwab mein Machar dekhna
Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki machchar main dekhna ek zaleel aur khwar aur nikamma aadmi hai ki thoda aur zaleel kaam karta hai aur agar khwab main dekhe ki machchar se jung karta hai toh daleel hai ki kamzor aadmi se jhagda aur tanajaa karega aur agar dekhe ki machchar ko nigal gaya hai toh us se amar ki daleel hai ki zaleel aadmi ke saath zaleel kaam main mashghool hoga aur us se us ko thodhi cheez milegi aur agar khwab main dekhe ki bahut se machchar ke jism par jama ho kar usko kaatte hain toh daleel hai ki aam logon ki zubaan par chadhega aur un se nuqsaan hoga balki us ko zarar aur sakht nuqsaan pahunchega kyon ki machchar aadmi ka khoon chusta hai aur agar khwab main dekhe ki machchar us ke kaan ya naak main ghus gaya hai aur us se us ne takleef pai hai toh us se ye daleel hai ki us kio kisi kamzor aadmi se ranj aur dukh zarar pahunchega.
hazrat ibraheem kirmani rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki agar koi shakhs khwab main dekhe ki bahut se machchar us ke ghar main aaye toh daleel hai ki us ko gham wa andwah haasil hoga aur agar dekhe ki machcharon ne ghalba kiya hai aur us ke ghar main jama hue hain toh daleel hai ki kisi kamzor dushman par fatah payega aur agar koi khwab main dekhe ki machchar uski naak main ghus gaya hai aur bahar nahin nikla hai toh daleel hai ki mahnat aur bala main garaftar hoga.
1. machchar ki taabeer khoon bahane wale dushman se ki jaati hai.
2. kabhi us ki dalaalat izzat o hurmat par bhi hoti hai jab arbaab sadoor apr daakhil ho uske ke naamon main ek naam mus bhi hai.