islam
khwab mein Likhny Wala dekhna
1. khwab main kaatib dhoka baaz aur chaal baaz aadmi par bhi dalaalat karta hai agar khwab main kisi katib ne dekha ki woh anpadh hai toh ye us ki aqal aur deen aur tadbeer khatam hone ki daleel hai aur muhtaaji ki alaamat hai.
2. agar kisi ne khwab dekha ki woh padha likha ban gaya toh daleel hai ki woh apne khilaf sajish karne wale ke khilaf tadbeer karne par qadir hoga.
3. kisi ne khwab dekha ki us ka khat kharab hai toh woh gunahon se taaib hoga aur heela baazi chhodh dega.
4. kisi ne khwab dekha ki woh katib hai toh woh ghairon ke kaamon ka ahtamam karega magar apna nahin aur un se us ko mashaqqat pahunchegi aur koi faaida nahin hoga.
5. beemar ke liye ye khwab maut ki daleel hai khwab main katib hona ghulam ke liye us ki amanat daari aur salahiyat ki daleel hai aur ishara hai ki anqareeb woh ghar ka sarbara ban jayega aur katib ki dalaalat paisha par bhi hoti hai maslan joota qalam sui tasme waghaira ke paishe wale par aur kabhi us ki dalaalat seeng lagane wale par bhi hoti hai uske qalam ki dalaalat nashtar par aur siyahi ki dalaalat us se nikalne wale khoon par hoti hai qalam rafu karne wala ki raqam ginne wale par dalaalat karta hai aur kabhi us ki dalaalat kisan par bhi hoti hai us ke qalam ki dalaalat us ke kunwein par aur siyahi ki dalaalat paani par hoti hai.
6. khwab main badshah ke munshiyon ko dekhna ya us ki sifat se muttasif hona rafaa manzilat aur halaat ki durustagi ki daleel hai.
7. badshah ke kaamon ki tahqeer karna aur un ko raaston main dekhna us ke martabe ke kam hone aur bad haali main mubtala hone ki alaamat hai jesa ki un ko achhi haalat main dekhna islaah ahwaal aur izzat ki nishani hai.
8. insha likhne walon ki dalaalat izzat wa rafaat zarooiyat ki takmeel aur badshahon ki taraf se ataayya milne arbaabe hukumat ilm aur faham fasahat arzaaq wa fawaid ajwaaz aulaad aur abaa ghulam waghaira par hoti hai aur raazon ke likhne walon ki dalaalat aane wali khabron zyadat wa nuqsaan aur khufiya raazon par matlaa hone par hoti hai.
9. aur katib ko raaste main dekhna police walon ko dekhne ki daleel hai.
10. parhaiz gaaron keliye kiraman katebeen ko dekhna duniya o aakhirat main kamiyabi aur dahkhoole jannat ki basharat hai.