islam
khwab mein Gehu Dekhna
1. uski dalaalat mahnat se haasil shuda maal par hoti hai khwab main gundam khareedna khushhali aur maal milne aur ayaal main zyadati par dalaalat karta hai.
2. khwab main badshah ko gundam ko harkat dete hue dekhna ashiya khurdani ke mahange hone par dalaalat karta hai.
3. khwab main gundam ka shat karna ayese amal karne ki daleel hai jis main allah taala ki raza ho.
4. khwab main apni faslon ke andar chalna jihad naseeb hone ki alaamat hai.
5. kisi ne dekha ki us ne gundam kasht ki toh taabeer hai ki us ka zaahir batin se behtar hai.
6. gundam ki kasht se khoon nikalna sood khane ki alaamat hai.
7. tar gundam khana aamaal ki durustgi ki alaamat hai.
8. gundam ke sabz khushboo ki dalaalat khushali par hoti hai.
9. khushk khushe jo apne tanon par hon qahat saali ki alaamat hain jitne khushe hain utne saal qahat rahega.
10. haath ya bartan ya khait main jama shuda gundam maalik ko milne wala maal par dalaalat karti hai ya bamiqdar khusha hasoole ilm ki alaamat hai.
11. kisi ne dekha ki woh kisi jaanne wala aadmi ki kati hui fasal se gire hue khushe chun raha hai toh daleel hai ki maalik se us ko mutfariq qisam ka baaqi rahne wala maal milega.
12. kisi ne dekha ki fasal katne ke mausam ke alawa dusre mausam main gundam kaat raha hai daleel hai ki us muhalle main kisi shakhs ka inteqal hoga aur jung waqe hone aur fitna barpa hone ki bhi alaamat hai.
13. katne wali gundam ke khushe agar peele hon toh badon ki maut aur sabz hon toh jawanon ki maut ki daleel hai.
14. khwab main khushk gundam khane ki taabeer achhi nahin hai.
15. kabhi khwab main gundam milna badshah ki taraf se maal milne ki daleel hai.
16. chhlka utri hui gundam maale haraam ki daleel hai.
17. khwab main gundam ke saath jo mila kar farokht karna shaar ko quraan se badalne ki alaamat hai.
18. bistar par gundam dekhna beewi ke haamila hone ki alaamat hai.
19. baaz ulma ne kaha ki khwab main kasht karna beewi ke haamila hone ki daleel hai.
20. khwab main paki hui gundam khana kisi napasand kaam main mubtala hone ki daleel hai.
21. khwab main kisi ka pait muh ya jild ka khushk gundam se bhar jana umar ke khatam hone ki daleel hai.
22. un cheezon ka mukammal na bharna utni umar kam hone ki nishani hai aur khwab main kachchi gundam jo sabz ho khana saleh hone aur deen par amal peera hone ki nishani hai.