islam
Khawab me Aadam Alaih Alsalam Dekhna
1. Agar kisi ne khwab me hazarat aadam alaih alsalam ko dekha to uski tabeer yah hai ke khwab dekhne wale se koi gunaah sarjad huwa hai us se tauba karni chahiye.
2. Ba-aj martaba hazarat aadam alaih alsalam ko dekhna badshaahat ya ilm par dalaalat karta hai.
3. Khwab me khud ko hazarat aadam alaih alsalam ko zaba karte dekhna badshaah ke sath gadar karne ki ya waledin ki na farmani ki daleel hai.
4. Agar kisi ne aadam alaih alsalam ko khaas hayat me dekha aur khwab dekhne wala saleh bhi hai to tabeer yah hai ke wilayat ki daualat se sarfaraj hoga.
5. Agar kisi ne dekha ke goya wah hazarat aadam alaih alsalam se kalaam kar raha hai to daleel hai ke wah ilm ke jewar se aarasta hoga.
6. Ba-aj aulama-e-tabeer ne kaha hai ba-aj daf-a aadam alaih alsalam ko dekhna kisi dushman ke daame fareeb me aane ki baad fir us se nizaat paane ki taraf mashir hai.
7. Agar kisi ne khwab me aadam alaih alsalam ko rang aur haalat ke matgair hone ki surat me dekha to daleel hai ke khwab dekhne wala ek makaan se dusre makaan ki taraf muntakal hoga fir aakhir pehale wale makaan me dobaara muntakal hoga.
8. Agar koi shakhas khud ko khwab me aadam alaih alsalam banta huwa dekhe ya aadam alaih alsalam ki sathi banta huwa ya aadam alaih alsalam ka sift se mutasif hota huwa dekhe to uski tabeer ye hai ke agar sahab-e-khwab khilaafat ka ahal hai to khilaafat payega’ aur agar ilm hai to log uske ilm se bhar-pur faayedah uthayenge’ ya us ko esa ilm naseeb hoga jisse ki logo me koi barabari nahi kar sakega.
9. Ba-aj daf-a khwab me hazarat aadam alaih alsalam ka didaar khwabo ki tabeer karne wale par dalaalat karta hai is liye ke duniya me sabse pehale khwab dekhne wale aur uski tabeer karne wale hazarat aadam alaih alsalam hi hai.
10. Ba-aj martaba khwab me didaar-e aadam alaih alsalam haj aur ahbaab ke ijtama ki daleel hai.
11. Ba-aj martaba aadam alaih alsalam ko khwab me dekhna kasarat nasal par dalaalat karega.
12. Ba-aj martaba un ko dekhne se nisiyan ki taraf ishaah hota hai.
13. Bisa-awkat aadam alaih alsalam ko dekhne ki tabeer hilah wa makar se ki jaati hai ya dali dushman se ese shakhas ke sath zindagi gujaarne se mualiz hayat’ ya zahar saaj ya jinaat wa shiyatin ko haajir karne aur unki jubaan bolne wala ho.
14. Bisa-awkaat aadam alaih alsalam ko khwab me dekhne khurdure libaas aur rone par dalaaalat karta hai.
15. Ba-aj waqt unko dekhna khane ke sabab takleef me mubtala hone par dalaalat karta hai.
16. Ba-aj martaba unki daleel mutalik safar se aur kabhi us janib safar se jaha aadam alaih alsalam ka nuzul huwa tha ki jaati hai.
17. Aur ba-aj daf-a didaar-e-aadam alaih alsalam ki tabeer aulaad narinah ki kasarat se ki jaati hai.
18. Agar khwab dekhne wala mariz ho to aadam alaih alsalam ka didaar us marz ki shifaa ki daleel hai. Aur ba-aj daf-a khidaam se aur ba-aj martaba badshaah ke muti-a hone se bhi tabeer ki jaati hai.
19. Agar kisi ne khwab me aadam alaih alsalam ko nakis alhaal dekha to is ki tabeer yah hai ke dekhne wale ke haal me nukas paida hoga ya uski sin-at wa paisha me tabdili aayegi aur agar aadam alaih alsalam ko achhi haalat me dekhe to us ki haalat bhi achhi hogi.