Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

Aaftab (suraj) Dekhna

Hazarat daaniyal alaih alsalam ne farmaya hai ke khwab me aaftab badshaah ya khalifa bujurgawar hota hai – agar khwab dekhe ke usne aaftab ko aasman se pakada hai ya apne mulk me liya hai – daleel hai ke badshaahi ya bujuragi payega – ya badshaah ka dost aur mukarib hoga aur agar dekhe ke khud aaftab ho gaya hai to daleel hai ke aaftab ke andaaje par badshaah hoga – agar badshaahi ke ahal se na hoga’ to apni himmat ke barabar bujurgi aur hishamat payega’ aur agar dekhe ke aaftab se jang kar raha hai to daleel hai ke badshaah uske sath jang karega aur agar dekhe ke ke aaftab ki jagah chaand kayam ho gaya hai to daleel hai ke badshaah hoga aur saltanat par karaar rahegi’ aur agar dekhe ke aaftab se noor leta hai to daleel hai ke bade badshaah se mulk lega’ aur agar dekhe ke aaftab ko pakada hai par aasman se nahi aur uski sha-aa aur noor bhi nahi hai aur tarik wagerah hai to gam se nijaat payega aur agar dekhe ke aaftab siyaah hai aur apni jagah par nahi hai to daleel hai ke badshaah apne kaaamo me muhataaz hoga.

Hazarat ibne seerin rehmatullah alaih ne farmaya hai ke khwab me aaftab bujurgwaar badshaah aur chaand wajir ‘ aur zaharh aurat aur ataar badshaah ka munshi aru marikh shaahi pehalwaan aur baaki sitaare badshaahi lashkar hote hai.


Hazarat jabeer magribi rehmatullah alaih ne farmaya hai ke khwab me aaftab baap aur chaand maa aur baaki sitaare bhai hote hai chunanche haq ta-ala ne apne paak kalaam me hazarat yusuf alaih alsalam ke kisse me bayaan farmaya hai – (mene khwab me 11 sitaare dekhe aur aaftab aur chaand ko dekha hai ke mujh ko sajadah karte hai -) .

aur jo jyadati aur kami aaftab aur mehtaab aur sitaaro me dekhe to maa baap aur bhai par daleel hai aur agar dekhe ke aaftab paakiza aur roshan nikalta hai to daleel hai aur uske ghar me chamaka hai to daleel hai ke apne khawesho me se aurat chahega’ aur agar dekhe ke abar aur gehara aaftab ke noor ko dhanpta hai to daleel hai ke badshaah ka haal khatarnaak hoga aur uske ahwaal khaas karjab aaftab ko khata dekhe badal jaayenge aur agar dekhe ke aaftab siyaahi se roshani me aaya hai to daleel hai ke badshaah bimaar hokar jaldi shifaa payega.

Agar dekhe ke usne khwab me aaftab ya mehtaab ko sajadah kiya hai to daleel hai ke us se gunaah ya khataa zahir hogi aur agar dekhe ke aaftab ya mehtaab ya tamaam sitaare ek jagah jamaa hai aur wah unke noor ko leta hai to daleel hai ke jahaan ki badshaahi hasil karega aur jahaan ke sab badshaah uske taab-a honge.

Aur agar dekhe ke suraj aur chaand aur sitaare pakade hai aur sab siyaah aur taarik hai to us ameer ki daleel hai ke khwab dekhne wala bilaak ho jayega – khaas kar agar jaalim aur sitamgar bhi hai.

Hazarat karmani rehmatullah alaih ne farmaya hai ke agar dekhe ke aaftab ke darmiyan siyaahi ka nukata hai to daleel hai ke badshaah ka dill mulk me mashgul hoga aur agar dekhe ke 2 aaftab aapas me ladate hai to daleel hai ke do badshaah aaps me jang karenge aur agar aaftab ko zameen par utaraa huwa be-noor dekhe to daleel hai ke us mulk ka badshaah saltanat se m-ajul hoga aur mulk se be-barah hoga.

Aur agar aaftab ko apne hath me siyaah dekhe to daleel hai ke badshaah aur khwab dekhne wala dono gam me mubtala honge aur agar dekhe ke aaftab kisi suraakh me ghoom ho gaya hai to daleel hai ke badshaah marega aur aam khulqat ko ranj-o-gam me mubatala honge aur agar dekhe ke aaftab aur sitaaro ko kisi cheez ne chhupa liya hai to daleel hai ke badshaah lashkar ke sath dushman se shikast payega’ aur agar dekhe ke aaftab ki parastish kar raha hai to daleel hai ke kisi bade badshaah ka mukarab hoga.

Hazarat ismaail ash-as rehmatullah alaih ne farmaya hai ke agar koi shakhas khwab me dekhe ke uska chehara aaftab ki taraf hai fir aaftab se chehara fair leta hai to daleel hai ke us mulk ka badshaah kisi naa umeed cheez se ranj payega ‘ aur agar aaftab ko apne sath baat karte dekhe to daleel hai ke badshaah se martaba aur hishmat aur bujurgi payega.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!