Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

Aamas (soojan)

Aamas(soojan)


hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main aamas maal hai aur agar dekhe ki us ke jism par aamas zaahir hui hai toh daleel hai ki usi qadar maal milega khaas kar agar us aamas main bahut pait bhi dekhe.

hazrat kirmani rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki agar dekhe ki us ke jism par aamas hai aur takleef hoti hai toh daleel hai ki usi qadar halaal maal paega aur agar aamas se us ko takleef nahin hai toh daleel hai ki haraam maal paega.


hazrat jaafar saadiq radialllah anha ne farmaya hai ki khwab main jism par aamas ka dekhna paanch wajah par hai

1. awwal maal zyada ho

2. duwwam aurat faaidamand

3. suwwam ladka hoga

4. chaharum muraad puri hogi

5. panjum ghamon se aman main hoga aur agar tamaam badan sujaa hua dekhe toh daleel hai ki us ko ye paanch cheezein haasil hogi.

Related Articles

Check Also
Close
Back to top button
error: Content is protected !!