Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

khwab mein Faseel Deewar ka dekhna


1. shahar ki faseel ko khwab main dekhna mujahidon par ya kisi taqatwar badshah ya apni cheezon ki hifazat karne wale raees par dalaalat karti hai aur baaz dafaa faseele shahar kisi aabid ya aalim par dalaalat karti hai. aur baaz dafaa dalaalat karti hai shareeyat par jo huq o baatil ke darmiyan fasal karne wali hoti hai aur baaz dafa ye khushi par dalaalat karti hai pas agar faseel, wali ya shahar ke haakim par dalaaalat kare toh shareef aur maazaj lon us ke taabe aur khidmatgar honge, aur agar faseel maal par dalaalat kare toh shareef aur maazaj log us ke hathyar raawar kher honge. aur agar faseel badshahat par dalaalat kare toh shareef aur maazaj log us ke muhaafiz aur raat ko us ke gird phirne wale honge.


2. jis ne dekha ki woh kisi faseel par hai toh ye dushmanon se aman ki alaamat hai ya jis cheez se dar raha hai us se hifaazat ki alaamat hai.

3. jis ne dekha ki us ne apne upar apne ghar ke ird gird faseel banai toh agar woh badshah ho toh ye us ke liye dushman aur ruiyyat se hifaazat hai aur agar woh faqeer ho toh maal haasil karega aur agar kunwara ho toh shaadi karega.

4. jis ne dekha ki shahar ki faseelein giri hui hain toh us ka aamil marega ya aamil hone se maazul hoga.

5. jis ne dekha ki us main koi shigaaf padh gaya yahan tak shahar main sher daakhil ho gaya selaab ya chor daakhil ho gaye toh us main islam ka haakim kamzor hoga aur ilm ka baazaar mand padh jayega.

6. namaalum islam, ilm, quraan, maal, amaan, taqwa, dua aur har woh cheez jis se dushman se bacha jaaye aur har buraai se ilm ki taraf se ya beewee ya shohar ya khauf ya shahar ya aulaad waghaira ki taraf se par dalaalat karti hai.

7. agar us ne dekha ki shahar ki faseel us tarah chal rahi hai jis tarah janwar chalta hai toh woh us hissa ki taraf safar karega jis taraf faseel chal kar gai, aur agar us ke upar ho toh us ke saath saath safar karega.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!