Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

Khwab mein Gosht Bhuna

1. maashiyat main basharat ki daleel hai agar kachcha hai toh daleel hai ki bachcha ki taraf se gham pahunchega.

2. bakri ke bhune hue bachche ki taabeer maale kaseer hai.

3. aur agar woh laghar saa hai toh thoda maal aur ayese rizaq ki daleel hai ki jis main mashaqqat hogi.

4. aur jis shakhs ne bakri ke bachche ka gosht khaya toh daleel hai ki apne baite ki kamai khayega.

5. bhuna hua bachda daleel hai haraasan ke huq main aman ki aur jis ki beewi hamila ho toh us ke liye bachche ki daleel hai.

6. har woh cheez jo baidaari ki haalat main pakai jaati hai khwab main dekhna gunah ki aur jis ki alaamat hai.

7. aur gaye ka bhuna hua gosht khauf se aman ki daleel hai magar us ko aulaad milne ki agar tawaqqoh hai toh woh ladka hoga aur khushi us bachhde ki qeemat ke baqadar hogi bhuna hua oont nareenah aulaad ki daleel hai.

8. agar dekha ki woh bhuna hua oont kha raha hai toh daleel hai ki use baita ataa hoga aur balugh ki umar tak pahunchega aur woh us ki kamai khayega bhuna hua oont khauf se aman ki daleel hai aur baaz hazraat ne farmaya ki us ki taabeer kisi shareef aadmi ka maudab bachcha hia jo har tarah ke aadaab se waqif hoga use kisi baat ki pareshani na hogi agar woh gosht paka nahin tha toh woh kaamon main daana hoga.


9. agar kisi ne dekha goya oont ka dast us se hum kalam hai toh us shakhs ko qudrat haasil hogi aur halakat se nijat hogi.

10. bhune hue ya pake hue parindon ka gosht ayese rizaq ki daleel hai jo kisi aurat ki taraf se baghair makaron fareb ke mile agar woh kucha toh woh us aurat ki ghaneebat karega aur us par zulm karega.

11. kisi bhi parinde ka chuza bhuna hua tala hua gosht mahnat o mashaqqat se haasil shuda maal ki daleel hai.

12. aur pahlu ka bhuna hua gosht khana bojh fakar aur ranj ki daleel hai us ki taabeer aurat se bhi ki jaati hai chunki hawwa alayeh alasalam ko hazrat aadam alayeh alsalam ke pahlu se paida kiya gaya tha.

13. sar se le kar nasaf badan tak bhuna hua gosht ki taabeer ladkiyan aur bandiyan hain.

14. aur pahlu ke neeche nasaf hissa baidton par dalaalat karta hai.

15. aur bhuna hua dast daleel hai ki us ka sabiqa aurat se hoga jese ye dhokah dega aur agar woh gosht kuachcha tha toh ghaneebat ki taraf ishara hai.

16. aur jis shakhs ne bhune hue gosht ka koi parsa khareeda toh daleel hai ki woh kisi aadmi ko ujrat par rakhega.

17. aur jis shakhs ne dekha ki woh bhuna hua pakaya hua gosht kha raha hai toh us shakhs ko mashaqqat se rizaq se haasil hoga baaz martaba khwab main bhuna hua gosht khana khauf ki daleel hota hai aur baaz hazraat ne farmaya fikar wa gham ya maale haraam ki daleel hai.

18. jis shakhs ne dunba bhuna woh beemar hoga ya badshah ki taraf se takleef pahunchegi ya qaid kar liya jayega.

19. aur jis shakhs ne bhaid bhuni us ki beewi ya baandi ya ghar ki koi khatoon beemari hogi.

20. aur jis shakhs ne bakri ka bachcha bhuna toh us ki aulaad ya ghulam ko chechak ya museebat laa huq hogi.

21. aur jis shakhs ne bachhda bhuna aur raay ko bachche ki khwahish bhi thi toh ummeed hai ki ladke ki dalaalat hogi wa girna khauf laa huq hoga baaz martaba bhunna tangi se nikalne dushmanon par fatehyabi nareena aulaad ke hasool ki daleel hota hai khaas taur par jab ki bhuna gaya janwar bachhda ho.

agar oont ho toh izzat marz se aafiyat ki khushi kunware wa kunwariyon ki shaadi musafir ki wapis ulfat muhabbat ki alaamat hai aur baaz martaba us ko khwab main dekhna salab nemat qaid taabeer maal ki laut maar amraaz haarit par dalaalat karta hai agar gosht bhuna ya marz ya koi aur cheez toh rizaq ki izzat dushmanon par fatehmandi ki daleel hai agar woh us ka ahal hua.

Related Articles

One Comment

Back to top button
error: Content is protected !!