Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

khwab mein Shatranj dakhna

Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main shatranj khelna bohtaan aur jhooti baat hai aur agar dekhe ki us ne shatranj khelne main mukhalifat ko maghlub kiya hai daleel hai ki kisi jhoot se ghalba karega aur us ko tohmat lagayega.

hazrat ibraheem kirmani rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main shatranj ka khelna ladaai aur jhagdhe par daleel hai aur ahal taabeer ne bayan kiya hai ki khwab main shatranj khelna bhalaai aur kher aur nafaa nahin hai.

nard (ek khel)

1. khwab main nard khelna byedari main buland martaba, izzat o jaah paane ki alaamat hai. isliye ki ye sahibe aqtadaar walon ka khel hai. aur kabhi us ki dalaalat byedaari main mazaaq aur maskharah pan ke martab hone par bhi hoti hai. aur kabhi fasiqon ke saath maashrat akhtiyar karne ki bhi alaamat hoti hai. aur kabhi nard khel khelna ayesi maasiyat main mubtala hone ki taraf ishara hota hai jis main ye maalum na ho ki sharmindgi hogi ya nahin hogi. aur baaz ulmaa taabeer kahte hain kisi bhi cheez se khelna makar karne ki alaamat hota hai. aur kabhi nard se khelna ayesi tijarat karne ki alaamat hai jis main maasiyat ho. aur nard amar batil ki bhi daleel hai.


2. nard ko khele bager nasab karna bekar aur maazul hone par dalaalat hai. aur huq par na hone ki taraf bhi ishaara hota hai.

3. use nasab kar ke us se khelne zulm aur nuqsan karne wale mardon ki sar parasti karne ki daleel hai. ya us ki taabeer zyadati karne se ki jaati hai.

4. nard ko khel main aage peeche karna us ilaaqe main zulm ke saath qataal waqe hone ki alaamat hai.

5. khwab mian ghalib aane wala byedaari main kamiyab hoga.

6. khwab dekha ki woh nard ke saath khel raha hai toh rizaq ke talab main ghalba ke taalib shakhs ke saath ladhaai jhagdha waqe hone ki daleel hai.

shatranj

1. khwab main shatranj ki taabeer mukhtalif qism ke logon ke saath mil jul kar rahna hai. agar woh badshah hai toh badhe shahar ki khushiyon wa shaadmani ki daleel hai shatranj, nard, naro ke mohre aur dhoka ki fareb aur munazagha par dalaalat karta hai.

2. jis shakhs ne dekha ki woh shatranj ke saath khel raha hai toh us ki taabeer hai ki us ka dushman hai nihayat kameena shakhs hai.

3. shatranj ke woh mohre ki jin ke saath khela nahin jaata maazul aadmiyon par dalaalat karta hai. aur mohre ki jo musalsal harkat main rahte hain hakaam par dalaalat karte hain. shatranj ke khiladiyon main se khwab main jeetne wala, byedaari main dusre par ghalib aayega hai. agar apne muqable se bedaq shiqari parinda liya toh bydaari main pedaq ko pakadhega aur agar ghodha haasil kiya toh byedaari main ghudh sawar ko pakdhega agar haati paaya toh daleel hai ki koi aajmi mulk haasil karega.

4. jis shakhs ne dekha ki woh shatranj khel raha hai toh alaamat hai ki ye shakhs qataal aur mukhasimat main bharpurn jaddo jahad karega. lekin ye maalum nahin ki woh ghalib hoga ya maghlub. baaz hazrat ne farmaya shatranj khelna alaamat hai ki ye shakhs logon se baat cheet ka tabaadla karega toh use chahiye ki un se bache uar un ke makroh fareb se bache. khwab main shatranj kalaam baatil ki alaamat hai. aur ladhaai par dalaalat karta hai. agar dekhe ki woh shatranj khel raha hai aur ghalba haasil kar liya hai toh daleel hai ki haalat byedaari main bhi apne maqaabil se usi qism ke halaat ka samna karna hoga. shatranj alaamat hai jang, adaawat, raazon par itlaa paane, aasaar ki itbaa, halaat ke badalne, aur isfaar ki.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!