islam
khawab me Amood dekhna
Amood garj jesa jungi auzaar hai hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main amood sachcha aur durust mard hai aur ahale taabeer ne bayan kiya hai ki sakht baatein hain agar dekhe ki usne kisi ke amood maara hai daleel hai ki kisi sakht baat kahega aur agar dekhe ki us ke paas lohe ka amood hai daleel hai ki us ko badshah se quwat aur madad haasil hogi aur agar dekhe ki us ke haath se kisi ne amood le liya hai toh us ki taaweel khilaaf hai.
hazrat jafar sadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main amood ka dekhna teen wajah par hai 1. sachcha mard 2. sakht aur buri baatein 3. koi buzurg saradar.