islam
khwab mein Badi Imarat Big Building dekhna
Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar koi khwab main dekhe ki us ne weeran jagah main masjid ya madrse ya khanqah ki imarat banai hai toh deen ki islaah aur akhirat ke sawab par daleel hai aur agar dekhe ki weeran jagah main gaya hai aur waha apne liye imarat banai hai jese saraye ya dukan wagera daleel hai ki duniya ka faaida paega aur agar dekhe ki maalum jagah weeran ho gai hai daleel hai ki bala aur museebat main giraftar hoga.
hazrat jaabir maghribi rahmatullah alyeh ne farmaya hai ki agar dekhe ki mashoor aur maaruf jagah main hua hai daleel hai ki us jagah se us ki aabadi aur imarat ke mutabiq kher o islaah aur munfaat haasil karega.
hazrat jaafar saadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main imarat ka dekhna char wajah par hai 1. duniya ki durusti 2. kher o munafaat 3. muraad ka hasool 4. ruke hue kaamon ki kashaaish aur barkat.
hyekal (badhi imarat, kaleesa)
1. badhi imarat aur qilon ki dalaalat khauf se maamun hone aur dushmanon par kamiyabi haasil karne par hoti hai aur aulaad wa azwaaz, fawaid aur deeni dunyawi maamle se parhez par bhi dalaalat karte hain.
2. kaleesaon main banai gai ibaadat gaahein dekhna un jagahon main namaz qaaim karne, un main baja bajane, wasaa ya eisha alayehi alsalam ya injeel sunaane ki taraf ishaara hota hai. aur kabhi us ko dekhna namaz aur dusri ibaadaat bajane par dalaalat karta hai.