islam
khwab mein Jhoola dekhna
Hazarat ibn-e sireen rehmatullah alaih ne farmaya hai agar dekhe ke jhoole me bethe hai aur sahib khwab is is kaabil bhi hai to rahat aur aasani aur esh khush par daleel hai aur khauf wa dahshat se aman me rahega, aur agar dekhe ke jhoole se gheera hai to us ki taadil awal ke khilaf hai. Hazarat ibrahim karmani rehamatullah aleh ne faramaya hai agar dekhe ki jhoole me betha hai dalil hai ki mehrbaan aurat karega ya khubsurat kanjiz kharidega aur ba-aj ahal taabir ne bayaan kiya hai ki jhoola khwab me aaram gaah aur izzat aur martaba hai usi ke lie hai jo is kabil hai warna kaid khane hai. Hazarat zaafar sadik rehmatullah aleh ne farmaya ki khwab me jhoola aath (8) wajah par hai. aasani aur raahat, aish, izzat, daulat, martaba, aman, meharbaan kaniz, aurat Aur aurato ke lie jhoola dekhna chaar(4) wajah par hai kaid khana, tang jagah, gam, ranj aur mehnat Jhoola khwab dekha ke us ne bachche ka jhoola kharida hai ya wah khud jhoole me hai to dalil hai use khair-o-barkat haasil hogi aur ua ke hatho nek kaam honge kyuki farmame ilahi hai aur jo nek amal kar raha hai siwae log apne lie saman kar rahe hai ba-aj kehte hai ki jhoola rahat o sukoon aur mashfik aurat ka beta aur chhoti bachchi ahi mardo k lie jhoola gam ya kaid hona hai kuware ke lie jhoola roza hai aur aurat ke lie ladka hai, jhoola dekhna fakar o alam sina ki tangi aur aah-o-baka ki dalil bhi ho sakti hai jhoola aur gahwara r-kas sarurgane aur hasi aur dastaan ki mehfil ki dalil bhi hai, jhoola jagde ya murdah ki chaar yai ki dalil bhi ho sakti hai. Jhoola Khwab mer jhoola jhoolna saahab khwab ki bad a atakadi aur deeni kamjori ki alamat hai.